Aaj zara fursat paayi thi aaj usey phir yaad kiya band gali ke aakhiri ghar ko khol ke phir aabaad kiya

Aaj zara fursat paayi thi aaj usey phir yaad kiya

band gali ke aakhiri ghar ko khol ke phir aabaad kiya

Khol ke khirki chaand hansa phir chaand ne donon hathon se

rang uraaye PHOOL khilaaye chiryon ko aazaad kiya

Bare bare ghum khare hue the rasta roke raahon mein

chhoti chhoti khushiyon se hi hum ne dil ko shaad kiya

Baat bahut mamooli si thi ulajh gayi takraaron mein

ek zara si zid ne aakhir donon ko barbaad kiya

Danaaon ki baat na maani kaam aayi nadaani hi

suna hawa ko parha nadi ko mausam ko ustaad kiya

Nida Fazli

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo