Udaas aankhon se aansoo nahin nikalte hain ye motiyon ki tarah seepiyon mein palte hain



Udaas aankhon se aansoo nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah seepiyon mein palte hain

Ghane dhuen mein farishte bhi aankhen malte hain
tamaam raat khajooron ke perr jalte hain

Main shaah raah nahin raaste ka patthar hun
yahan sawaar bhi paidal ,utar kar chalte hain

Unhe kabhi na batana main unki aankhen hun
woh log PHOOL samjh kar, mujhe masalte hain

Ye ek perr hai, aa iss se mil kar ro lein hum
yahan se tere mere raaste badalte hain

Kayi sitaaron ko main jaanta hun bachpan se
kahin bhi jaaun ,mere saath saath chalte hain. !!
Bashir Badar

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo