Poet MAHSHAR BADAYUNI
aakhir aakhir ek gham hi aashna rah jaega
Aur wo gham bhi mujhko ek din dekhta rah jayega
Aur wo gham bhi mujhko ek din dekhta rah jayega
Sochta hoon ashk -e -hasrat hi karoon nazr- e- bahar
Phir khyal ata hai mere pas kya rah jayga
Ab hawayen hi karengi roshni ka faisla
Jis diye me jaan hogi wo diya rah jayga
Aaj agar ghar me yahi rang- e- sab e ishrat raha
Log so jayenge darwaza khola rah jayega
Ta –had-e-manzil tawazun chahiye rafter me
Jo musafir tez tar aage badha rah jayega
Ghar kabhi ujra nahin ye ghar yeh ghar ka shajara hai gwah
hum gae to aa ke koi dusra rah jayega
roshni mahshar rahegi roshni apne jagah
mai guzar jaunga mera naqsh-e- pa rah jayega.
No comments:
Post a Comment