Shouq-e-Sahil Hai Tou Moujon Se Ulajhna Seekho Zindagi Aik Talatum Hai GHam-o-Yaas Nahi


قمر مُراد آبادی

کون سا دِل ہے جسے درد کا احساس نہیں
خود زمانے کو زمانے کی ہَوا راس نہیں

وہ کہاں جائیں بہاروں کا جنازہ لے کر
اپنے گلشن کی فِضائیں بھی جنھیں راس نہیں

دِل دھڑکتا ہے، قدم رُکتے ہیں کیوں آپ سے آپ
بیخودی دیکھنا، منزل تو کہیں پاس نہیں

شوقِ ساحِل ہے تو موجوں سے اُلجھنا سیکھو
زندگی ایک تلاطُم ہے غم و یاس نہیں

شکوۂ دوست نے وہ لُطف دِیا مجھ کو قمر
غم اگر راس بھی آئے تو کہوں راس نہیں
Poet:Qamar Muradabadi

Konsa Dil Hai Jise Dard Ka Ihsaas Nahi
Khud Zamane Ko Zamane Ki Hawa Raas Nahi

Wo Kahan Jaein Baharon Ka Janaza Le Kar
Apne Gulshan Ki Fizaaein Bhi Jinhein Raas Nahi

Dil Dhadakta Hai,Qadam Ruktay Hain Kion Aap Se Aap
Be-Khudi Dekhna,Manzil Tou Kahein Paas Nahi

Shouq-e-Sahil Hai Tou Moujon Se Ulajhna Seekho
Zindagi Aik Talatum Hai GHam-o-Yaas Nahi

Shikwah-e-Dost Ne Wo Lutf Diya Mujh Ko QAMAR
 Gham Agar Raas Bhi Aaye Tou Kahon Raas Nahi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo