Radeef, Qaafia, Bandish, Khayal, Lafz-Gari Wo Hoor, Zeena Utartay Hoiay Sikhaanay Lagi



**-Radeef, Qaafia, Bandish, Khayal, Lafz-Gari-**
**-Wo Hoor, Zeena Utartay Hoiay Sikhaanay Lagi-**

**-Kisi Ke Sheerien Labon Se Udhaar Letay Hain-**
**-Mithaas, Shehd, Rutab, Cheeni, Qand, Misri Dalli-**

**-Kisi K Sath Nahatay Hain Taiz Baarish Mein,-**
**-Libaas, Gajray, Ufaq, Aankh, Zulf, Hont, Hansi.-**

**-Kisi Ka Bheega Badan Gull Khilata Hai Aksar-**
**Gulaab, Rani, Kanwal, Yasmeen, Champa Kali.-**

**-Kisi Ko Chalta Howa Dekh Lain Tou Chaltay Banain-**
**-Ghazaal, Morni, Moajain, Najam, Zamana Gari-**

**-Kisi Ki Madh-Bhari Aankhon K Aagay Kuch B Nahi-**
**-Thakaan, Sharaab, Dawa, Gham, Khumar-E-Neem Shabi-**

**-"Ba-Shart-e-Faal" Kisi Khaal Per Main Waaroon Ga-**
**-Chaman, Pahaarr, Daman, Dasht, Jheel, Khushki, Tari-**

**-Nigahain Chaar Hoein, Waqt Hosh Kho Baitha-**
**-Saddi, Dihaaie, Baras, Maah, Roz, Aaj, Abhi-**

**-Ataa-E-Husn Thi Qais Ik Jhalak Mein Shokh Ghazal-**
**-Biyaaz Hoti Mukamal, Magar Wo Phir Na Mili-**

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo