Mita daale'n na mujhko chara-gar ye Hara rehna hai mujhko, zakhm hoo'n Main



مٹا ڈالیں نہ مجھ کو چارہ گر یہ
ہرا رہنا ہے مجھ کو' زخم ہوں میں

کبھی ہارا ہوا سا حوصلہ ہوں
کبھی امبر چھوئے وہ عزم ہوں میں

ہوں ماں کے رحم میں آغازِ ہستی
مگر ہر لحد میں پھر ختم ہوں میں

میری تخلیق کی کوئ وجہ ہے
یا پھر اک بے حقیقت رسم ہوں میں

ہوں میں بھی اک صحیفہ آسمانی
کہ ہر زرّے میں گویا رقم ہوں میں

زویا راؤ

Mita daale'n na mujhko chara-gar ye
Hara rehna hai mujhko, zakhm hoo'n Main

Kabhi haraa hua sa hausla hoo'n
Kabhi ambar chhue wo azm hoo'n Main

Hoo'n maa'n ke rehm mai aghaaz-e hasti
Magar har lehd me phir khatm hoo'n Main

Meri taqhleeq ki koi waja hai
Ya phir ik be haqeeqat rasm hoo'n Main

Hoo'n Mai bhi ik saheefa aasmani
Ke har zarre me goya raqm hoo'n Main

Zoya Rao

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo