Radeef, Qaafia, Bandish, Khayal, Lafz-Gari Wo Hoor, Zeena Utartay Hoiay Sikhaanay Lagi
Radeef, Qaafia, Bandish, Khayal, Lafz-Gari Wo Hoor, Zeena Utartay Hoiay Sikhaanay Lagi Kisi Ke Sheerien Labon Se Udhaar Letay Hain Mithaas, Shehd, Rutab, Cheeni, Qand, Misri Dalli Kisi K Sath Nahatay Hain Taiz Baarish Mein Libaas, Gajray, Ufaq, Aankh, Zulf, Hont, Hansi Kisi Ka Bheega Badan Gull Khilata Hai Aksar Gulaab, Rani, Kanwal, Yasmeen, Champa Kali Kisi Ko Chalta Howa Dekh Lain Tou Chaltay Banain Ghazaal, Morni, Moajain, Najam, Zamana Gari Kisi Ki Madh-Bhari Aankhon K Aagay Kuch B Nahi Thakaan, Sharaab, Dawa, Gham, Khumar-E-Neem Shabi Ba-Shart-e-Faal" Kisi Khaal Per Main Waaroon Ga Chaman, Pahaarr, Daman, Dasht, Jheel, Khushki, Tari Nigahain Chaar Hoein, Waqt Hosh Kho Baitha Saddi, Dihaaie, Baras, Maah, Roz, Aaj, Abhi Ataa-E-Husn Thi Qais Ik Jhalak Mein Shokh Ghazal Biyaaz Hoti Mukamal, Magar Wo Phir Na Mili