Shaer-e-aazam Dilawar Figar sahab ki ek pasandida nazm Kal ik adeeb o shaer o naqid mile hamen Kahne lage ki aao zara bahs hi Karen



Shaer-e-aazam Dilawar Figar sahab ki ek pasandida nazm

Kal ik adeeb o shaer o naqid mile hamen
Kahne lage ki aao zara bahs hi Karen

Karne lage ye bahs ki ab hind o paak men
Wo kaun ha ki shaer-e-aazam jise kahen

Main ne kaha ‘jigar’ to kaha dead ho chuke
Main ne kaha ki ‘josh’ kaha qadar kho chuke

Main ne kaha ‘firaq’ ki azmat pe tabsira
Bole ‘firaq’ shaer-e-aazam ara-rara

Main ne kaha ‘nadim’ to bole ki journalist
Main ne kaha ‘ raees’ to bole satirist

Main ne kaha ki hazrat-‘mahir’ bhi khoob hain
Kahne lage ki un ke yahan bhi uyoob hain

Main ne kaha kuch aur to bole ki chup raho
Main chup raha to kahne lage aur kuch kaho

Main ne kaha ki ‘sahir’ o ‘majrooh’ o jaan-nisar
Bole ki shairon men na kijie inhen shumar

Main ne kaha kalam-e-ravish la-javab hai
Kahne lage ki un ka tarannum kharab hai

Main ne kaha tarannum-e-‘anwar’ pasand hai
Kahne lage ki un ka watan deoband hai

Main ne kaha ki un ki ghazal saaf-o-paak hai
Bole ki un ki shakl badi khaufnak hai

Main ne kaha ki ye jo hain’mahshar’-inayati?
Kahne lage ki rang ha un ka riwayati

Main ne kaha ‘qamar’ ka taghazzul hai dil-nasheen
Kahne lage ki un men to kuch jaan hi nahin

Main ne kaha ‘niyaz’ to bole ki aib hain
Main ne kaha ‘suroor’ to bole ki nukta-chiin

Main ne kaha ki ‘zareef’ to bole ki gandagi
Main ne kaha ‘salam’ to bole ki bandagi

Main ne kaha ‘faraz’ to bole ki zer o bam
Main ne kaha ‘adam’ to kaha wo bhi kal-adam

Main ne kaha ‘khumar’ kaha fun men kachche hain
Main ne kaha ki ‘shaad’ to bole ki bachche hain

Main ne kaha ki tanz-nigaron men dekhiye
Bole ki saikadon men hazaron men dekhiye

Main ne kaha ki shaer-e-aazam hain ‘jafari’
Kahne lage ki aap ki hai un se dosti

Main ne kaha ki ye jo hain ‘mahshar’-inayati?
Kahne lage ki aap hain un ke himayati

Main ne kaha ‘zameer’ ke hiyumar men fikr hai
Bole ye kis ka naam liya kis ka zikr hai

Main ne kaha ki ye jo dilawar-figar hain
Bole ki wo to sirf zarafat-nigar hain

Main ne kaha mizah men ik baat bhi to hai
Bole ki is ke saath khurafat bhi to hai

Main ne kaha to shaer-e-aazam koi nahin
Kahne lage ki ye bhi koi lazmi nahin

Main ne kaha to kis ko main shaer bada kahon
Kahne lage ki main bhi isi kashmakash mein hon

Payan-e-kaar khatm hua jab ye tajziya
Main ne kaha huzoor to bole ki shukriya

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha