Radeef, Qaafia, Bandish, Khayal, Lafz-Gari Wo Hoor, Zeena Utartay Hoiay Sikhaanay Lagi



Radeef, Qaafia, Bandish, Khayal, Lafz-Gari
Wo Hoor, Zeena Utartay Hoiay Sikhaanay Lagi

Kisi Ke Sheerien Labon Se Udhaar Letay Hain
Mithaas, Shehd, Rutab, Cheeni, Qand, Misri Dalli

Kisi K Sath Nahatay Hain Taiz Baarish Mein
Libaas, Gajray, Ufaq, Aankh, Zulf, Hont, Hansi

Kisi Ka Bheega Badan Gull Khilata Hai Aksar
Gulaab, Rani, Kanwal, Yasmeen, Champa Kali

Kisi Ko Chalta Howa Dekh Lain Tou Chaltay Banain
Ghazaal, Morni, Moajain, Najam, Zamana Gari

Kisi Ki Madh-Bhari Aankhon K Aagay Kuch B Nahi
Thakaan, Sharaab, Dawa, Gham, Khumar-E-Neem Shabi

Ba-Shart-e-Faal" Kisi Khaal Per Main Waaroon Ga
Chaman, Pahaarr, Daman, Dasht, Jheel, Khushki, Tari

Nigahain Chaar Hoein, Waqt Hosh Kho Baitha
Saddi, Dihaaie, Baras, Maah, Roz, Aaj, Abhi

Ataa-E-Husn Thi Qais Ik Jhalak Mein Shokh Ghazal
Biyaaz Hoti Mukamal, Magar Wo Phir Na Mili

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai