INSAAN KA BAN'NA KHUDA, KABHI ACHA NAHIN HOTA JANABE SHEIKH SE KEH DO, UNHEN SAJDAH NAHIN HOTA
Dear Friends -Assalam Alaikum ,
Ek ghazal jo
yaqeenan aap sab ko pasand aayegi,
Har sher laajawab zara ghaur se
padhiyega aur raaye zaroor dijiyega .
INSAAN KA BAN'NA KHUDA, KABHI ACHA NAHIN HOTA
JANABE SHEIKH SE KEH DO, UNHEN SAJDAH NAHIN HOTA
KAHA MUJH SE QALANDAR NE , SAMAJH ASAAN SA NUKTA
GHAME JAANAN HO JIS DIL MAIN , GHAME DUNIYA NAHIN HOTA
TALATUM KHEZ MAUJON MAIN, UTARNA HAI BHIKHRNA HAI
JHAADE ZINDAGI YAARON ,LABE DARIYA NAHIN HOTA
QALAM PAKDO, JIGAR THAMO ,KAHO DIL KI SUNO DIL KI
NA HO JAB TAK JUNU'N KAAMIL ,SUKHAN PUKHTA NAHIN HOTA
NA HAI RAHZAN KA DAR HUM KO ,NA HI REHBAR KI TAMANNA KUCH
WAHAN SE HUM GUZARTE HAIN, JAHAN RASTAA NAHIN HOTA
SEEKHA HAI YEH BULBUL SE, SABAQ MEHFIL GADAAZI KA
JIGAAR WOH KHUN KAR NAHIN SAKTA, DIL JO TOOTA NAHIN HOTA
FAQEERON KI SADA SUN LE, HAR EK BAAFAFA SUN LE
HAR EK DAR PE NAHIN RAKHNA , DIL PYAALAA NAHIN HOTA
Comments
Post a Comment