Zillat-e-Tanhai Sy Ghabra ke Aai Hon Mein Abhi Abhi Shaher-e-Wafa Sy Aai Hon



Parveen Shakir

Zillat-e-Tanhai Sy Ghabra ke Aai Hon
Mein Abhi Abhi Shaher-e-Wafa Sy Aai Hon

Kuch Dair Hawa ko Baaton My Lagaye Rakhna
Mein Ghar Mein Ek Charagh Jala k Aai Hon

US Ny Pocha Hai Ehd-e-wafa Nibhao Gy
So Hathon My Quraan Utha ke Aai Hon

Wo Chahay To Ab Mujh Sy Tark-e-Talluq kar Ly
Wo Meri Zindagi Hai Usy Bata ke Aai Hon

Wo Ab Bhi Mujhy Ana Parast Smjhta Hai
Mein Jisay Ro Ro k Mana k Aai Hon...!!!

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha