Chand Uss Dais Me Nikla Keh Nahi Jane Woh Aaj Bhi Soya Keh Nahi



چاند اُس دیس میں نکلا کہ نہیں
جانے وہ آج بھی سویا کہ نہیں
اے مجھے جاگتا پاتی ہُوئی رات
وہ مری نیند سے بہلا کہ نہیں
بھیڑ میں کھویا ہُوا بچہ تھا
اُس نے خود کو ابھی ڈھونڈا کہ نہیں
مجھ کو تکمیل سمجھنے والا
اپنے معیار میں بدلا کہ نہیں
گنگناتے ہوئے لمحوں میں اُسے
دھیان میرا کبھی آیا کہ نہیں
بند کمرے میں کبھی میری طرح
شام کے وقت وہ رویا کہ نہیں
میری خوداری برتنے والے
تیر اپندار بھی ٹوٹا کہ نہیں
الوداع ثبت ہُوئی تھی جس پر
اب بھی روشن ہے وہ ماتھا کہ نہیں
پروین شاکر
 
**************************
 
Chand Uss Dais Me Nikla Keh Nahi
Jane Woh Aaj Bhi Soya Keh Nahi
Aye Mujhe Jagta Pati Hui Raat
Woh Meri Neend Se Behla Keh Nahi
Bheed Me Khoya Hua Bachha Tha
Uss Ne Khud Ko Abhi Dhonda Keh Nahi
Mujh Ko Takmeel Samajhne Wala
Apne Mayaar Me Badla Keh Nahi
Gungunatay Hoe Lamhoon me Ussay
Dhehaan Mera Kabhi Aaya Keh Nahi
Band Kamre Me Kabhi Meri Tarah
Shaam K Waqt Woh Roya Keh Nahi
Meri Khud-Dari Baratney Wale
Teer Endar Bhi Toota Keh Nahi
Alweda Sabat Hoi Thi Jis Par
Ab Bhi Roshan Hai Woh Maatha Keh Nahi 
Parveen Shakir

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo