Taseer Pas e Marg Dekhayi Hai Wafa Ne Jo Mujh Pe Hansa Karte Thay Rote Hain Sarhanay



 تاثیر پسِ مرگ دِکھائی ہے وفا نے
جو مجھ پہ ہنسا کرتے تھے، روتے ہیں سرہانے

کیا کہہ دیا چُپ کے سے، نہ معلوُم قضا نے
کروَٹ بھی نہ بدلی تِرے بیمارِ جفا نے

ہستی مِری، کیا جاؤں مَیں اُس بُت کو منانے
وہ ضِد پہ جو آئے تو فَرِشتوں کی نہ مانے

اَوراقِ گُلِ تر، جو کبھی کھولے صبا نے
تحرِیر تھے لاکھوں مِری وحشت کے فسانے

رُخ دیکھ کے، خُود بن گیا آئینے کی صُورت
بیٹھا جو مُصوّر، تِری تصوِیر بنانے

نالے نہیں ہیں کھیل اَسِیرانِ قَفَس کے
صیّاد کے آ جائیں گے سب ہوش ٹِھکانے

ہمسائے بھی جلنے لگے ،جلتے ہی نشیمن
بھڑکا دیا اور آگ کو، پتّوں کی ہَوا نے

پہلی سی قمر! چشمِ عِنایت ہی نہیں ہے
رُخ پھیر دِیا اُن کا، زمانے کی ہَوا نے
Taseer Pas e Marg Dekhayi Hai Wafa Ne
Jo Mujh Pe Hansa Karte Thay Rote Hain Sarhanay

Kia Keh Diya Chupkay Se Na Maloom Qaza Ne
Karwat Bhi Na Badli Tere Bemaar e Jafa Ne

Hasti Meri Kia Jaon Main Uss Butt Ko Manane
Woh Zid Pe Jo Aaye Toh Fareshton Ki Na Mane

Aoraaq Gul e Tar Jo Kabhi Kholey Saba Ne
Tahreer Thay Lakhon Mere Wehshat K Fasane

Rukh Dekh K Khud Ban Gaya Aainay Ki Soorat
Baitha Jo Musawwir Teri Tasweer Banane

Naley Nahi Hain Khel Aseeran e Qafas K
Sayyad K Aa Jaein Gy Sab Hosh Thikane

Hamsaye Bhi Jalney Lagy Jaltey Hi Nasheman
Bhadka Diya Aur Aag Ko Patton Ki Hawa Ne

Pehli Sii QAMAR Chisham e Inayat Hi Nahi Hai
Rukh Pher Diya Unka Zamane Ki Hawa Ne

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo