Hum Dasht Ke Basi Hain Are Shehr Ke Logo Ye Rooh Piyasi Humein Wersay Me Mili Hai



 ہم دشت کے باسی ہیں ارے شہر کے لوگو
یہ روح پیاسی ہمیں ورثے میں ملی ہے

دکھ درد سے صدیوں کا تعلق ہے ہمارا
آنکھوں کی اداسی ہمیں ورثے میں ملی ہے

جاں دینا روایت ہے قبیلے کی ہماری
یہ سرخ لباسی ہمیں ورثے میں ملی ہے

جو بات بھی کہتے ہیں اتر جاتی ہے دل میں
تاثیر جدا سی ہمیں ورثے میں ملی ہے

جو ہاتھ بھی تھاما ہے سدا ساتھ رہا ہے
احباب شناسی ہمیں ورثے میں ملی ہے
Hum Dasht Ke Basi Hain Are Shehr Ke Logo
Ye Rooh Piyasi Humein Wersay Me Mili Hai

Dukh Dard Se Sadion Ka Ta'aluq Hai Hamara
Ankhon Ki Udasi Humein Wersay Me Mili Hai

Jaan Dena Rawayat Hai Qabeelay Ki Humari
Ye Surkh Libaas  Humein Wersay Me Mili Hai

Jo Baat Bhi Kehty Hain Utar Jati Hai Dil Me
Taseer Juda Sii  Humein Wersay Me Mili Hai

Jo Haath Bhi Thama Hai Sada Saath Raha Hai
Ahbaab Shanasii  Humein Wersay Me Mili Hai

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo