Nam Hain Palkein Teri Aye Mouj e Hawa Raat K Saath Kia Tujhe Bhi Koi Yaad Aata Hai Barsaat K Saath



نم ہیں پلکیں تری اے موجِ ہَوا، رات کے ساتھ
کیا تجھے بھی کوئی یاد آتا ہے برسات کے ساتھ
روٹھنے اور منانے کی حدیں ملنے لگیں
چشم پوشی کے سلیقے تھے، شکایات کے ساتھ
تجھ کو کھو کر بھی رہوں ،خلوتِ جاں میں تیری
جیت پائی ہے محبت نے عجب،مات کے ساتھ
نیند لاتا ہُوا،پھر آنکھ کو دُکھ دیتا ہُوا
تجربے دونوں ہیں وابستہ ہات کے ساتھ
کبھی تنہائی سے محروم نہ رکھّا مُجھ کو
دوست ہمدرد ہے،کتنے ،مری ذات کے ساتھ
پروین شاکر

Nam Hain Palkein Teri Aye Mouj e Hawa Raat K Saath
Kia Tujhe Bhi Koi Yaad Aata Hai Barsaat K Saath
Roothny Aur Mababe Ki Hadein Milny Lagein
Chisham Poshi K Saleeqay Thay Shikayaat K Saath
Tujh Ko Kho Kar Bhi Rahon Khilwat e Jaan Mein Teri
Jeet Paai Hai Muhabbat Ne Ajab Maat K Saath
Neend Lata Hua Phir Aankh Ko Dukh Deta Hua
Tajrubay Dono Hain Wabasta Haath K Saath
Kabhi Tanhaai Se Mahroom Na Rakha Mujh Ko
Dost Hamdard Hai Kitnay Meri Zaat K Saath
Parveen Shakir

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo