Posts

Showing posts from August, 2018

Ik Ada Se Dil Chalni Ik Ada Tasalli Ki Yaar e Man Sitamgar Bhi Yaar e Man Maseeha Bhi

Image
Ik Ada Se Dil Chalni Ik Ada Tasalli Ki Yaar e Man Sitamgar Bhi Yaar e Man Maseeha Bhi

Raat Maikhuar Hum Faqeeron Se Dum Karany Sharaab Le Aaye

Image
رات مہ خوار ہم فقیروں سے دم کرانے شراب لے آئے Raat Maikhuar Hum Faqeeron Se Dum Karany Sharaab Le Aaye

Woh Paidh Jin Par Parendon Ke Ghar Nahi Hote Daraz Jitny Bhi Hon Moa'atabar Nahi Hote

Image
وہ پیڑ جن پر پرندوں کے گھر نہیں ہوتے دراز جتنے بھی ہوں معتبر نہیں ہوتے Woh Paidh Jin Par Parendon Ke Ghar Nahi Hote Daraz Jitny Bhi Hon Moa'atabar Nahi Hote

Ameer Meenai Ke Zrb ul Masal Asha'ar

Image
ﺍﻣﯿﺮ ﻣﯿﻨﺎﺋﯽ ﮐﮯ ﺿﺮﺏ ﺍﻟﻤﺜﻞ ﺍﺷﻌﺎﺭ ........................... ﺁﮬﻮﮞ ﺳﮯ ﺳﻮﺯِ ﻋﺸﻖ ﻣﭩﺎﯾﺎ ﻧﮧ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﭘﮭﻮﻧﮑﻮﮞ ﺳﮯ ﯾﮧ ﭼﺮﺍﻍ ﺑﺠﮭﺎﯾﺎ ﻧﮧ ﺟﺎﺋﮯﮔﺎ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ ﺍﭼﮭﮯ ﻋﯿﺴﯽٰ ﮬﻮ ﻣﺮﯾﻀﻮﮞ ﮐﺎ ﺧﯿﺎﻝ ﺍﭼﮭﺎ ﮬﮯ ﮬﻢ ﻣﺮﮮ ﺟﺎﺗﮯ ﮬﯿﮟ ﺗﻢ ﮐﮩﺘﮯ ﮬﻮ ﺣﺎﻝ ﺍﭼﮭﺎ ﮬﮯ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ ﺍﻣﯿﺮ ﺍﺏ ﮬﭽﮑﯿﺎﮞ ﺁ ﻧﮯ ﻟﮕﯽ ﮬﯿﮟ ﮐﮩﯿﮟ ﻣﯿﮟ ﯾﺎﺩ ﻓﺮﻣﺎﯾﺎ ﮔﯿﺎ ﮬﻮﮞ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ ﮔﺎﮬﮯ ﮔﺎﮬﮯ ﮐﯽ ﻣﻼﻗﺎﺕ ﮬﯽ ﺍﭼﮭﯽ ﮬﮯ ﺍﻣﯿﺮ ﻗﺪﺭ ﮐﮭﻮ ﺩﯾﺘﺎ ﮬﮯ ﮬﺮ ﺭﻭﺯ ﮐﺎ ﺁﻧﺎ ﺟﺎﻧﺎ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ ﮬﻮﺋﮯ ﻧﺎﻣﻮﺭ ﺑﮯ ﻧﺸﺎﮞ ﮐﯿﺴﮯ ﮐﯿﺴﮯ ﺯﻣﯿﮟ ﮐﮭﺎ ﮔﺌﯽ ﺁﺳﻤﺎﮞ ﮐﯿﺴﮯ ﮐﯿﺴﮯ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ ﮐﻮﻥ سی ﺟﺎ ﮬﮯ ﺟﮩﺎﮞ ﺟﻠﻮﮦ ﻣﻌﺸﻮﻕ ﻧﮩﯿﮟ ﺷﻮﻕ ﺩﯾﺪﺍﺭ ﺍﮔﺮ ﮬﮯ ﺗﻮ ﻧﻈﺮ ﭘﯿﺪﺍ ﮐﺮ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ ﻟﻄﻒ ﺁﻧﮯ ﻟﮕﺎ ﺟﻔﺎﺅﮞ ﻣﯿﮟ ﻭﮦ ﮐﮩﯿﮟ ﻣﮩﺮﺑﺎﮞ ﻧﮧ ﮬﻮ ﺟﺎﺋﮯ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ ﻗﺮﯾﺐ ﮬﮯ ﯾﺎﺭﻭ ﺭﻭﺯِ ﻣﺤﺸﺮ ۔ ﭼﮭﭙﮯ ﮔﺎ ﮐﺸﺘﻮﮞ ﮐﺎ ﺧﻮﻥ ﮐﯿﻮﻧﮑﺮ ﺟﻮ ﭼﭗ ﺭﮬﮯ ﮔﯽ ﺯﺑﺎﻥِ ﺧﻨﺠﺮ ، ﻟﮩﻮ ﭘﮑﺎﺭﮮ ﮔﺎ ﺁﺳﺘﯿﻦ ﮐﺎ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ ﺷﺎﻋﺮ ﮐﻮ ﻣﺴﺖ ﮐﺮﺗﯽ ﮬﮯ ﺗﻌﺮﯾﻒِ ﺷﻌﺮ ﺍﻣﯿﺮ ﺳﻮ ﺑﻮﺗﻠﻮﮞ ﮐﺎ ﻧﺸﮧ ﮬﮯ ﺍﺱ ﻭﺍﮦ ﻭﺍﮦ ﻣﯿﮟ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ ﺗﯿﺮ ﮐﮭﺎﻧﮯ ﮐﯽ ﮬﻮﺱ ﮬﮯ ﺗﻮ ﺟﮕﺮ ﭘﯿﺪﺍ ﮐﺮ ﺳﺮﻓﺮﻭﺷﯽ ﮐﯽ ﺗﻤﻨﺎ ﮬﮯ ﺗﻮ ﺳﺮ ﭘﯿﺪﺍ ﮐﺮ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ ﺗﯿﺮ ﭘﮧ ﺗﯿﺮ ﻟﮕﺎﺅ ﺗﻤﮩﯿﻦ ﮈﺭ ﮐﺲ ﮐﺎ ﮬﮯ ﺳﯿﻨﮧ ﮐﺲ ﮐﺎ ﮬﮯ ﻣﺮﯼ

Tere Honton Pe Tabasum Ki Woh Halki See Lakeer Mere Takhayul Mein Reh Reh Ke Jhalak Uthti Hai

Image
تیرے ہونٹوں پہ تبسم کی وہ ہلکی سی لکیر میرے تخیل میں رہ رہ کے جھلک اٹھتی ہے یوں اچانک ترے عارض کا خیال آتا ہے جیسے ظلمت میں کوئی شمع بھڑک اٹھتی ہے تیرے پیراہنِ رنگیں کی جنوں خیز مہک خواب بن بن کے مرے ذہن میں لہراتی ہے رات کی سرد خموشی میں ہر اک جھونکے سے ترے انفاس، ترے جسم کی آنچ آتی ہے میں سلگتے ہوئے رازوں کو عیاں تو کردوں لیکن ان رازوں کی تشہیر سے جی ڈرتا ہے رات کے خواب اجالے میں بیاں تو کردوں ان حسیں خوابوں کی تعبیر سے جی ڈرتا ہے تیری سانسوں کی تھکن، تیری نگاہوں کا سکوت درحقیقت کوئی رنگین شرارت ہی نہ ہو میں جسے پیار کا انداز سمجھ بیٹھا ہوں وہ تبسم، وہ تکلم تری عادت ہی نہ ہو سوچتا ہوں کہ تجھے مل کے میں جس سوچ میں ہوں پہلے اس سوچ کا مقسوم سمجھ لوں تو کہوں میں ترے شہر میں انجان ہوں پردیسی ہوں تیرے الطاف کا مفہوم سمجھ لوں تو کہوں کہیں ایسا نہ ہو پاؤں مرے تھرّا جائیں اور تری مرمریں بانہوں کا سہارا نہ ملے اشک بہتے رہیں خاموش سیہ راتوں میں اور ترے ریشمی آنچل کا کنارا نہ ملے ساحر لدھیانوی

Nasih Agar Khuda Hamain Deta Hazar Dil Har Roz Hum Tou Karte Button Par Nisar Dil

Image
ناصح اگر خدا ہمیں دیتا ہزار دل ہر روز ہم تو کرتے بتوں پر نثار دل اُنکی تو ہر ادا ہے طلبگارِ دل مگر لائیں کہاں سے روز نیا جا نثار دل بیخود بدایونی Nasih Agar Khuda Hamain Deta Hazar Dil Har Roz Hum Tou Karte Button Par Nisar Dil Unki Tou Har Ada Hai Talabgar e Dil Magar Laein Kahan Se Roz Naya Janisar Dil Bekhud Badauoni

Dum e Wisal Teri Aanch Istarah Aai Keh Jaise Aag Sulagny Lagy Gulabo Mein

Image
دمِ وصال تری آنچ اس طرح آئی کہ جیسے آگ سلگنے لگے گلابوں میں Dum e Wisal Teri Aanch Istarah Aai Keh Jaise Aag Sulagny Lagy Gulabo Mein

Woh Mily Bhi Tou Ik Jhijhak See Rahi Kaash Thodi See Hum Piye Hote

Image
وہ ملے بھی تو اک جھجھک سی رہی کاش تھوڑی سی ہم پیے ہوتے   عبد الحمید عدم  Woh Mily Bhi Tou Ik Jhijhak See Rahi Kaash Thodi See Hum Piye Hote Abdul Hameed Addam

Har Cheez Mushtarak Thi Hamari Sewai Naam Aur Aaj Reh Gaya Hai Ta'aluq Barai-Naam

Image
ھر چیز مُشترک تھی ھماری، سِوائے نام اور آج رہ گیا ھے تعلُّق ، برائے نام اشیائے کائنات سے نا آشنا تھا مَیں پھر ایک اِسم نے مُجھے سب کے سِکھائے نام تب مَیں کہوں کہ سچّا ھُوں یک طرفہ عشق میں وہ میرا نام پُوچھے، مُجھے بُھول جائے نام وہ دلرُبا بھی تھی کسی شاعر کی کھوج میں مَیں نے بھی پھر بتایا تخلّص ، بجائے نام محفِل میں چُپ بھی بیٹھوں تو پہچانتے ھیں لوگ بدنام ھو کوئی تو کہاں تک چُھپائے نام لشکر بنا رھا ھُوں جوانانِ عشق کا جس میں بھی آگ ھے، مُجھے مِل کر لکھائے نام مَیں نام رکھ نہ پایا گُلِ نَو شگُفتہ کا حالانکہ شاخِ گُل نے ھزاروں سُجھائے نام تُو عشق پائے عشق کے مرنے کے بعد بھی فارس ! مزارِ دل پہ ترا جگمگائے نام   رحمان فارس Har Cheez Mushtarak Thi Hamari Sewai Naam Aur Aaj Reh Gaya Hai Ta'aluq Barai-Naam Aashiya e Kainaat Se Na-Aashna Tha Main Phir Aik Ism Ne Mujhe Sab Ke Sekhaye Naam Tab Main Kahon Keh Sachha Hon Yak-Tarfa Ishq Mein Woh Mera Naam Poochay , Mujhe Bhool Jae Naam Woh Dilruba Bhi Thi Kisi Shair  Ki Khoj Mein Main Ne Bhi Phir Bataya Takhalus

Musawwer Main Tera Shahkaar Wapas Karne Aaya Hon Ab Iss Rangeen Rukhsaron Mein Thodi Zardiyan Bhar De Hijaab-Aalood Nazron Mein Zara Be-Bakiyan Bhar De

Image
Francesco Vinea (1845 - 1902) Italian painter مصور میں ترا شاہکار واپس کرنے آیا ہوں اب ان رنگین رخساروں میں تھوڑی زردیاں بھردے حجاب آلود نظروں میں ذرا بے باکیاں بھر دے لبوں کی بھیگی بھیگی سلوٹوں کومضمحل کردے نمایاں رنگِ پیشانی پہ عکس سوزِ دل کر دے تبسم آفریں چہرے میں کچھ سنجیدہ پن بھر دے جواں سینے کی مخروطی اٹھانیں سرنگوں کر دے گھنے بالوں کو کم کردے مگر رخشندگی دے دے نظر سے تمکنت لے کرمذاقِ عاجزی دے دے مگر ہاں بنچ کے بدلے اسے صوفے پہ بٹھلا دے یہاں میرے بجائے اک چمکتی کار دکھلا دے​ ساحر لدھیانوی Musawwer Main Tera Shahkaar Wapas Karne Aaya Hon Ab Iss Rangeen Rukhsaron Mein Thodi Zardiyan Bhar De Hijaab-Aalood Nazron Mein Zara Be-Bakiyan Bhar De Labon Ki Bheegi Bheegi Selwaton Ko Muzmahel Kar De Numayan Rang e Paishaani Pe Aks e Souz e Dil Bhar De Tabasum Aafreen Chehre Mein Kuch Sanjeeda-Pan Bhar De Jawaan Seenay Ki Makhrooti Uthanein Sir-Nagon Kar De Ghanay Baalon Ko Kam Kar De Magar Rakhshandgi Dy De Nazar Se Tamkanat Le Kar Maz

Yeh Kis Maqam Pe Soojhi Tujhe Bichharne Walay Keh Ab tau Ja Ke Kahein Din Sanwarnay Walay Thay

Image
ये किस मुक़ाम पे सूझी तुझे बिछड़ने वाले कि अब तो जा के कहीं दिन सँवरने वाले थे।  जमाल इहसानी  Yeh Kis Maqam Pe Soojhi Tujhe Bichharne Walay Keh Ab tau Ja Ke Kahein Din Sanwarnay Walay Thay Jamal Ihsani

Hona to wohi hai jo muqadar main likha hai Lakin wo mere khuwaab , mere khuwaab , mere khuwaab

Image
ہونا تو وہی ہے جو مقدر میں لکھا ہے لیکن وہ مرے خواب، مرے خواب، مرے خواب Hona to wohi hai jo muqadar main likha hai Lakin wo mere khuwaab , mere khuwaab , mere khuwaab

Tumhara ahd e wafa hon , tumhara Naz e junoon Tarap utho gay Mere zakhm agar daikhao mujhe

Image
Tumhara ahd e wafa hon , tumhara Naz e junoon Tarap utho gay Mere zakhm agar daikhao mujhe Aziz Jahan Ada Jaafry

Aap Kahiye Toh Nibahtay Challay Jain Gay Magar Iss Taalluq Mein Aziyat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi

Image
آپ کہیئے تو نباہتے چلے جائیں گے ' مگر اس تعلق میں اذیت کے سوا کُچھ بھی نہیں Aap Kahiye Toh Nibahtay Challay Jain Gay Magar Iss Taalluq Mein Aziyat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi

kya khoob youn hota k yaadein bhi rait hoti mutthi se gira dete paon se udaa dete

Image
kya khoob youn hota k yaadein bhi rait hoti mutthi se gira dete paon se udaa dete

Dil k dariya ko kisi roz utar jana hai Itna besimt na chal laut ke ghar jana hai

Image
Dil k dariya ko kisi roz utar jana hai Itna besimt na chal laut ke ghar jana hai Us tak ati hai to har chiz thahar jati hai Jaise pana hi use asl main mar jana hai Bol ai sham-e-safar rang-e-rihai kya hai Dil ko rukana hai k taron main thahar jana hai Kaun ubharate hue mahatab ka rasta roke Us ko har taur su-e-dasht-e-sahar jana hai Main khila hun to isi khak main milna hai mujhe Vo to khushbu hai use agle nagar jana hai Vo tere husn ka jadu ho k mera gam-e-dil Har musafir ko isi ghat utar jana hai Amjad Islam Amjad

Kaun kehta hai muhabbat ki zubaan hoti hai Ye haqeeqat to nigaahon se bayaan hoti hai

Image
Kaun kehta hai muhabbat ki zubaan hoti hai Ye haqeeqat to nigaahon se bayaan hoti hai

Muhabbaton Ki Saza Be-Misaal Di Us Ne Udaas Rehne Ki Aadat Hi Daal Di Us Ne

Image
‏محبتوں کی سزا بے مثال دی اس نے اداس رہنے کی عادت ہی ڈال دی اس نے Muhabbaton Ki Saza Be-Misaal Di Us Ne Udaas Rehne Ki Aadat Hi Daal Di Us Ne

Sulag uthay hain kinaron pe sang raezay bhi Gira hai toot ke pani main hosla Kis ka

Image
سلگ اٹھے ہیں کناروں پہ سنگ ریزے بھی گرا ہے ٹوٹ کے پانی میں حوصلہ کس کا Sulag uthay hain kinaron pe sang raezay bhi Gira hai toot ke pani main hosla Kis ka

Jab Khizaan Aaey To Pattey Na Samar Bachta Hai Khaali Jholi Liey Weeraan Shajar Bachta Hai

Image
جب خزاں آئے تو پتّے نہ ثَمَر بچتا ھے خالی جھولی لیے ویران شجَر بچتا ھے نُکتہ چِیں ! شوق سے دن رات مِرے عَیب نکال کیونکہ جب عَیب نکل جائیں، ھُنَر بچتا ھے سارے ڈر بس اِسی ڈر سے ھیں کہ کھو جائے نہ یار یار کھو جائے تو پھر کونسا ڈر بچتا ھے روز پتھراؤ بہت کرتے ھیں دُنیا والے روز مَر مَر کے مِرا خواب نگر بچتا ھے غم وہ رستہ ھے کہ شب بھر اِسے طَے کرنے کے بعد صُبحدم دیکھیں تو اُتنا ھی سفر بچتا ھے بس یہی سوچ کے آیا ھُوں تری چوکھٹ پر دربدر ھونے کے بعد اک یہی در بچتا ھے اب مرے عیب زدہ شہر کے شر سے، صاحب ! شاذ و نادر ھی کوئی اھلِ ھُنر بچتا ھے عشق وہ علمِ ریاضی ھے کہ جس میں فارس دو سے جب ایک نکالیں تو صفَر بچتا ھے رحمان فارس Jab Khizaan Aaey To Pattey Na Samar Bachta Hai Khaali Jholi Liey Weeraan Shajar Bachta Hai Nukta-Chee’n ! Shoq Se Din Raat Mere Aib Nikaal Kyunkey Jab Aib Nikl Jaaein, Hunar Bachta Hai Saarey Dar Bas Isi Dar Se Hein K Kho Jaaey Na Yaar Yaar Kho Jaaey To Phir Konsa Dar Bachta Hai Roz Pathraao Bohut Kartey Hein Duniya Waley Roz Mar Mar Ke Mera Khw

Jalwa e Gul bulbul ko Buhat hai shama ko girya e shaam Baad e bahari Gul ko Buhat hai mujh ko tera naam

Image
جلوہ ء گل کو بلبل بہت ہے،شمع کو گریاء شام بادء بہاری گل کو بہت ہے،مجھ کو تیرا نام Jalwa e Gul bulbul ko Buhat hai shama ko girya e shaam Baad e bahari Gul ko Buhat hai mujh ko tera naam

Qurbatein Hote Hoe Bhi Faslon Mein Qaid Hain Kitni Azadi Se Hum Apni Hadon Mein Qaid Hain

Image
قربتیں ہوتے ہوئے بھی فاصلوں میں قید ہیں کتنی آزادی سے ہم اپنی حدوں میں قید ہیں Qurbatein Hote Hoe Bhi Faslon Mein Qaid Hain Kitni Azadi Se Hum Apni Hadon Mein Qaid Hain

Wo kisi ko yaad kar ke muskuraya tha udhar Aur main na-daan ye samjha ke wo mera huwa

Image
Wo kisi ko yaad kar ke muskuraya tha udhar Aur main na-daan ye samjha ke wo mera huwa Iqbal Ashhar

Kaarwaan Se Koi Nisbat Na Kisi Manzil Se Gum Hon Goya Keh Ik Gardaab Hai Dunya Meri

Image
Kaarwaan Se Koi Nisbat Na Kisi Manzil Se Gum Hon Goya Keh Ik Gardaab Hai Dunya Meri Zoya Rao

Nazar mila ke kaha mujh se mere saaqi ne Haraam kehte hain jis ko yeh woh sharaab nahi

Image
Nazar mila ke kaha mujh se mere saaqi ne Haraam kehte hain jis ko yeh woh sharaab nahi

Meri Tishnagi Ka Khyal Kar Main Udas Hon Mujhe Dekh Ja Meri Be-basi Ka Malaal Kar Main Udas Hon Mujhe Dekh Ja

Image
Meri Tishnagi Ka Khyal Kar Main Udas Hon Mujhe Dekh Ja Meri Be-basi Ka Malaal Kar Main Udas Hon Mujhe Dekh Ja Main Tere Khyal Ke Dasht Mein Sabi Raston Se Guzar Gya Tu Bhi Mere Gham Ka Khayal Kar Main Udas Hon Mujhe Dekh Ja Yeh Tere Sitam Ye Tera Karam Mujhe Aor Zoq-E-Janoon Dein Mera Chalna Yon Na Mahaal Kar Main Udas Hon Mujhe Dekh Ja Mera Zard Chehra Hai Kis Liye Makaan Ujra Hai Kis Liye Na Tu Mujh Se Aisa Sawal Kar Main Udas Hon Mujhe Dekh Ja

Aankh bhar ke dekh lo damm bhar Dil ko Chhaahat hai Pazeerayi ki

Image
آنکھ بھر کے دیکھ لو دم بھر دل کو چاہت ھے پزیرائی کی تاشفین فاروقی Aankh bhar ke dekh lo damm bhar Dil ko Chhaahat hai Pazeerayi ki Tashfeen Farooqi

Fareb Ek Aur Kha Liya Jaye Kyoon Na Usko Manaa Liya Jaye

Image
Fareb Ek Aur Kha Liya Jaye...!!! Kyoon Na Usko Manaa Liya Jaye...!!!

Kitni khamosh thi Woh Hijar ki Raat Dill ki Awaz se kaan Phattay thay

Image
کتنی خاموش تھی وہ ہجر کی رات  دل کی آواز سے کان پھٹتے تھے Kitni khamosh thi Woh Hijar ki Raat Dill ki Awaz se kaan Phattay thay

Main woh Darya hon ke har Boond Bahnvar hai jis ki Tum Ne Acha hi kiya Mujh se kinara kar ke

Image
میں وہ دریا ہوں کہ ہر بوند بهنور ہے جسکی تم نے اچها ہی کیا مجھ سے کنارہ کر کے Main woh Darya hon ke har Boond Bahnvar hai jis ki Tum Ne Acha hi kiya Mujh se kinara kar ke

Hazaron Na-Mukammal hasraton ke bojh tallay Ye jo dil dhardkta hai, kammal karta hai

Image
ہزاروں نامکمل حسرتوں کے بوجھ تلے یہ جو دل دھڑکتا ہے کمال کرتا ہے Hazaron Na-Mukammal hasraton ke bojh tallay Ye jo dil dhardkta hai, kammal karta hai

Woh aksar Khwaab Mein Aakar Meri Halat Pe Roti Hai Keh Tah-e-Khak Bhi Maa Ki Pareshani Nahi Jati

Image
Woh aksar Khwaab Mein Aakar Meri Halat Pe Roti Hai Keh Tah-e-Khak Bhi Maa Ki Pareshani Nahi Jati

Na thi koi bhi ranjishey sirf adato main tazad tha Keh usy pasand thi shokhiyan aur mujhy saadgi mein kamal tha

Image
Na thi koi bhi ranjishey sirf adato main tazad tha Keh usy pasand thi shokhiyan aur mujhy saadgi mein kamal tha

Arzoo poori hui har ek Tabeer hua har khaab bhee Khwahish koi na rahi tishna Phir bhee Ek anjani si kami rahi Lub e darya bhee Tishnagee rahi

Image
Arzoo poori hui har ek Tabeer hua har khaab bhee Khwahish koi na rahi tishna Phir bhee Ek anjani si kami rahi Lub e darya bhee Tishnagee rahi

Chalo Ik Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaen Hum Dono Na Main Tum Se Koi Ummeed Rakhon Dil Nawazi Ki

Image
خوبصورت موڑ چلو اک بار پھر سے اجنبی بن جائیں ہم دونوں نہ میں تم سے کوئی امید رکھوں دل نوازی کی نہ تم میری طرف دیکھو غلط انداز نظروں سے نہ میرے دل کی دھڑکن لڑکھڑائے میری باتوں سے نہ ظاہر ہو تمہاری کشمکش کا راز نظروں سے تمہیں بھی کوئی الجھن روکتی ہے پیش قدمی سے مجھے بھی لوگ کہتے ہیں کہ یہ جلوے پرائے ہیں مرے ہم راہ بھی رسوائیاں ہیں میرے ماضی کی تمہارے ساتھ بھی گزری ہوئی راتوں کے سائے ہیں تعارف روگ ہو جائے تو اس کا بھولنا بہتر تعلق بوجھ بن جائے تو اس کو توڑنا اچھا وہ افسانہ جسے انجام تک لانا نہ ہو ممکن اسے اک خوبصورت موڑ دے کر چھوڑنا اچھا چلو اک بار پھر سے اجنبی بن جائیں ہم دونوں ساحر لدھیانوی

kabhi rukhsaar se takraata hai kabhi zulf mein olajh jataa hai tumhara ye jumkaa bhi hu ba hu mera mizaaj rakhta hai

Image
kabhi rukhsaar se takraata hai kabhi zulf mein olajh jataa hai tumhara ye jumkaa bhi hu ba hu mera mizaaj rakhta hai

Ka'aba o Quran Ko Dekha Hai Gelaaf Mein Leptey Hoe Ab Main Samjha Hon Pardey Ki Fazeelat Kia Hai

Image
کعبہ و قرآن کو دیکھا ہے غلاف میں لپٹے ہوئے اب میں سمجھا ہو پردے کی فضیلت کیا ہے का'बा ओ कुरान को देखा हे गिलाफ में लिपटे हुए अब में समजा हुं परदे की फजीलत क्या हे Ka'aba o Quran Ko Dekha Hai Gelaaf Mein Leptey Hoe Ab Main Samjha Hon  Pardey Ki Fazeelat Kia Hai

Tum Rang Ho Tum Noor Ho Tum Sheesha Ho Tum Jaam Kirnon Se Bhari Subah Ho Taron Se Bhari Shaam

Image
Tum Rang Ho Tum Noor Ho Tum Sheesha Ho Tum Jaam Kirnon Se Bhari Subah Ho Taron Se Bhari Shaam Rangeen Hai Sarshaar Hai Mastana Hai Dunya Tum Ho Tou Nigahon Mein Pari-Khana Hai Dunya

Umr Keheti Hai Ab Sanjeeda Hua Jaye Dil Keheta Hai Kuch Nadaniyan Aur Sahi

Image
Umr Keheti Hai Ab Sanjeeda Hua Jaye Dil Keheta Hai Kuch Nadaniyan Aur Sahi

Eid Pheeki Lag Rahi Hey, Ishq Ki Taaseer Bhaij Aa Gley Mil Ya Libaas-e-Eid Mei’n Tasveer Bhaij

Image
عید پھیکی لگ رھی ھے، عشق کی تاثیر بھیج آ گلے مِل یا لباسِ عید میں تصویر بھیج تیری خُوشبو اور کھنَک مَیں خط سے کرلُوں گا کشید چُوڑیوں والے حنائی ھاتھ کی تحریر بھیج دیکھ کر ویران گلیاں خوف آتا ھے مُجھے اے خُدا ! کوئی گداگر یا کوئی رھگیر بھیج میری آنکھوں کو نہ دے آدھی ادھوری بخشِشیں خواب واپس چھین لے یا خواب کی تعبیر بھیج جاں لبوں پر آگئی ھے آنسُوؤں کے قحط سے آنکھ بُھوکی مر رھی ھے، غم کے شہدو شِیر بھیج عید کا تُحفہ یہ کہہ کر اُس نے واپس کردیا میرے پیروں کے لیے پائل نہیں، زنجیر بھیج تیری لکّھی قید سے باھر نکلنا ھے مُجھے کاتبِ تقدیر ! ایسا کر، کوئی تدبیر بھیج دُوسرے مصرعے کے گہرے راز کو فارس نہ کھول اس غزل کو چُپکے چُپکے وادئ کشمیر بھیج رحمان فارس Eid Pheeki Lag Rahi Hey, Ishq Ki Taaseer Bhaij Aa Gley Mil Ya Libaas-e-Eid Mei’n Tasveer Bhaij Teri Khushboo Aur Khanak Mai’n Khat Sey Ker Lu’n Ga K’sheed Chooriyo’n Waaley Hinaai Haath Ki Tehreer Bhaij Daikh Ker Weeraan Gliyaa’n Khof Aata Hey Mujhey Aey Khuda ! Koi Gdaa’gar Ya Koi Reh’geer Bhaij

Nigah-e-mehar kahan ki wo barhami bhi gayi main dosti ko jo roya to dushmani bhi gayi

Image
Nigah-e-mehar kahan ki wo barhami bhi gayi main dosti ko jo roya to dushmani bhi gayi

Buhat Dino Me Woh Aaye Hain Wasl Ki Shab Hai Mouzin Aaj Na Ya Rab Aazaan Ke Liye

Image
بہت دنوں میں وہ آئے ہیں وصل کی شب ہے موذن آج نہ یا رب اٹھے اذاں کے لئے बहुत दिनों में वो आए हैं वस्ल की शब है मोअज़्ज़िन आज न या रब उठे अज़ाँ के लिए Buhat Dino Me Woh Aaye Hain Wasl Ki Shab Hai Mouzin Aaj Na Ya Rab Aazaan Ke Liye

Farigh na janiye mujhe Masroofe jung hon Uss chup se jo kalam se aaghe nikal gayi

Image
Farigh na janiye mujhe Masroofe jung hon Uss chup se jo kalam se aaghe nikal gayi

Kiun na kron guroor apne aap pe Mujhe usne chaaha hai jise chaane Waly hazaar they

Image
Kiun na kron guroor apne aap pe Mujhe usne chaaha hai jise chaane Waly hazaar they

Mere Honton Pe Likha Sabbr Bata Sakta Hai Main Nay Daryaa Ki Koi Shart Nahi Maani Hai

Image
Mere Honton Pe Likha Sabbr Bata Sakta Hai Main Nay Daryaa Ki Koi Shart Nahi Maani Hai Is Qadar Shour Hai Is Shehr Mien Lehjon Ka Ali Apni Aawaaz Bhi Andazay Say Pehchani Hai   Ali Zaryoun

Ye Gard Baith Jaye To Maloom Kar Sakon Aankhe Nahi Rahin Ya Tamasha Nahi Raha

Image
Ye Gard Baith Jaye To Maloom Kar Sakon Aankhe Nahi Rahin Ya Tamasha Nahi Raha

Ab Tou Har Haath Ka Pathar Humain Pehchanta Hai Umar Guzri Hai Tere Shehr Mein Aaty Jaty

Image
اب تو ہر ہاتھ کا پتھر ہمیں پہچانتا ہے عمر گزری ہے ترے شہر میں آتے جاتے  अब तो हर हाथ का पत्थर हमें पहचानता है उम्र गुज़री है तेरे शहर में आते जाते Ab Tou Har Haath Ka Pathar Humain Pehchanta Hai Umar Guzri Hai Tere Shehr Mein Aaty Jaty

Ye Bhee Aik Khata thii K Main Khuda Sey pehlay Teray Samnay Roya

Image
Ye Bhee Aik Khata thii K Main Khuda Sey pehlay  Teray Samnay Roya

Ya Bhee Likha Gaya Kasoor Mera Keh Mohabbat Mein Intaha ki Hai

Image
Ya Bhee Likha Gaya Kasoor Mera Keh Mohabbat Mein Intaha ki Hai Itbaf Abrak  

Chaand Badla Hai Kabhi, Jheel Badal Jane Se Aaina Koi Bhi Ho, Aks Tumhara Hoga

Image
Chaand Badla Hai Kabhi, Jheel Badal Jane Se Aaina Koi Bhi Ho, Aks Tumhara Hoga ﭼﺎﻧﺪ ﺑﺪﻻ ﮨﮯ ﮐﺒﮭﯽ، ﺟﮭﯿﻞ ﺑﺪﻝ ﺟﺎﻧﮯ ﺳﮯ ﺁﺋﯿﻨﮧ ﮐﻮﺋﯽ ﺑﮭﯽ ﮨﻮ , ﻋﮑﺲ ﺗﻤﮩﺎﺭﺍ ﮨﻮﮔﺎ