Jab Khizaan Aaey To Pattey Na Samar Bachta Hai Khaali Jholi Liey Weeraan Shajar Bachta Hai


No automatic alt text available.

جب خزاں آئے تو پتّے نہ ثَمَر بچتا ھے
خالی جھولی لیے ویران شجَر بچتا ھے
نُکتہ چِیں ! شوق سے دن رات مِرے عَیب نکال
کیونکہ جب عَیب نکل جائیں، ھُنَر بچتا ھے
سارے ڈر بس اِسی ڈر سے ھیں کہ کھو جائے نہ یار
یار کھو جائے تو پھر کونسا ڈر بچتا ھے
روز پتھراؤ بہت کرتے ھیں دُنیا والے
روز مَر مَر کے مِرا خواب نگر بچتا ھے
غم وہ رستہ ھے کہ شب بھر اِسے طَے کرنے کے بعد
صُبحدم دیکھیں تو اُتنا ھی سفر بچتا ھے
بس یہی سوچ کے آیا ھُوں تری چوکھٹ پر
دربدر ھونے کے بعد اک یہی در بچتا ھے
اب مرے عیب زدہ شہر کے شر سے، صاحب !
شاذ و نادر ھی کوئی اھلِ ھُنر بچتا ھے
عشق وہ علمِ ریاضی ھے کہ جس میں فارس
دو سے جب ایک نکالیں تو صفَر بچتا ھے
رحمان فارس

Jab Khizaan Aaey To Pattey Na Samar Bachta Hai
Khaali Jholi Liey Weeraan Shajar Bachta Hai
Nukta-Chee’n ! Shoq Se Din Raat Mere Aib Nikaal
Kyunkey Jab Aib Nikl Jaaein, Hunar Bachta Hai
Saarey Dar Bas Isi Dar Se Hein K Kho Jaaey Na Yaar
Yaar Kho Jaaey To Phir Konsa Dar Bachta Hai
Roz Pathraao Bohut Kartey Hein Duniya Waley
Roz Mar Mar Ke Mera Khwaab-Nagar Bachta Hai
Gham Wo Rastaa Hai K Shab Bhar Isey Tay Karney Key Baad
Subh-Dam Dekhein To Utna Hi Safar Bachta Hai
Bas Yehi Soch K Aaya Hoon Teri Chokhat Par
Dar-ba-Dar Honey K Baad Ik Yehi Dar Bachta Hai
Ab Mere Aib-Zadaa Shehr Ke Shar Se, Sahib !
Shaaz-o-Naadar Hi Koi Ahl-e-Hunar Bachta Hai
Ishq Wo Ilm-e-Rayaazi Hai K Jis Mein Faris
Do Se Jab Aik Nikaalein To Sifar Bachta Hai
Rehman Faris

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo