Har Cheez Mushtarak Thi Hamari Sewai Naam Aur Aaj Reh Gaya Hai Ta'aluq Barai-Naam



ھر چیز مُشترک تھی ھماری، سِوائے نام
اور آج رہ گیا ھے تعلُّق ، برائے نام

اشیائے کائنات سے نا آشنا تھا مَیں
پھر ایک اِسم نے مُجھے سب کے سِکھائے نام

تب مَیں کہوں کہ سچّا ھُوں یک طرفہ عشق میں
وہ میرا نام پُوچھے، مُجھے بُھول جائے نام

وہ دلرُبا بھی تھی کسی شاعر کی کھوج میں
مَیں نے بھی پھر بتایا تخلّص ، بجائے نام

محفِل میں چُپ بھی بیٹھوں تو پہچانتے ھیں لوگ
بدنام ھو کوئی تو کہاں تک چُھپائے نام

لشکر بنا رھا ھُوں جوانانِ عشق کا
جس میں بھی آگ ھے، مُجھے مِل کر لکھائے نام

مَیں نام رکھ نہ پایا گُلِ نَو شگُفتہ کا
حالانکہ شاخِ گُل نے ھزاروں سُجھائے نام

تُو عشق پائے عشق کے مرنے کے بعد بھی
فارس ! مزارِ دل پہ ترا جگمگائے نام
 
رحمان فارس
Har Cheez Mushtarak Thi Hamari Sewai Naam
Aur Aaj Reh Gaya Hai Ta'aluq Barai-Naam

Aashiya e Kainaat Se Na-Aashna Tha Main
Phir Aik Ism Ne Mujhe Sab Ke Sekhaye Naam

Tab Main Kahon Keh Sachha Hon Yak-Tarfa Ishq Mein
Woh Mera Naam Poochay , Mujhe Bhool Jae Naam

Woh Dilruba Bhi Thi Kisi Shair  Ki Khoj Mein
Main Ne Bhi Phir Bataya Takhalus Bajae Naam

Mehfil Mein Chup Bhi Baithon Tou Pehchanty Hain Log
Bad-Naam Ho Koi Tou Kahan Tak Chupaye Naam

Lashkar Bana Raha Hon Jawanan e Ishq Ka
Jis Mein Bhi Aag Hai , Mujhe Mil Kar Lekhaye Naam

Main Naam Rakh Na Paya Gul e Nou Shagufta Ka
Halanke Shakh e Gul Ne Hazaron Sujhaye Naam

Tu Ishq Paye Ishq Ke Marny Ke Baad Bhi
Faris ! Mazar e Dil Pe Tera Jagmagaye Naam

Rehman Faris
 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo