Meri Tishnagi Ka Khyal Kar Main Udas Hon Mujhe Dekh Ja Meri Be-basi Ka Malaal Kar Main Udas Hon Mujhe Dekh Ja


Image may contain: one or more people and people standing

Meri Tishnagi Ka Khyal Kar
Main Udas Hon Mujhe Dekh Ja
Meri Be-basi Ka Malaal Kar
Main Udas Hon Mujhe Dekh Ja
Main Tere Khyal Ke Dasht Mein
Sabi Raston Se Guzar Gya
Tu Bhi Mere Gham Ka Khayal Kar
Main Udas Hon Mujhe Dekh Ja
Yeh Tere Sitam Ye Tera Karam
Mujhe Aor Zoq-E-Janoon Dein
Mera Chalna Yon Na Mahaal Kar
Main Udas Hon Mujhe Dekh Ja
Mera Zard Chehra Hai Kis Liye
Makaan Ujra Hai Kis Liye
Na Tu Mujh Se Aisa Sawal Kar
Main Udas Hon Mujhe Dekh Ja

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai