Posts

Showing posts from September, 2018

Iss se pehle keh mujhe waqat alahdaa rakh de Mere honton pe mere naam ka bosaa rakh de

Image
اس سے پہلے کے مجھے وقت علیحدہ رکھ دے میرے ہونٹوں پہ مِرے نام کا بوسہ رکھ دے ہم جو چلتے ہیں تو خود بنتا چلا جاتا ہے لاکھ مٹّی میں چُھپا کر کوئی رستہ رکھ دے مجھ سے لے لے مِرے قِسطوں پہ خریدے ہوئے دن میرے لمحے میں مِرا سارا زمانہ رکھ دے مجھ کو آزادی مِلی بھی تو کچھ ایسے ناسِک جیسے کمرے میں کوئی صحن سے پنجرا رکھ دے Iss se pehle keh mujhe waqat alahdaa rakh de Mere honton pe mere naam ka bosaa rakh de Hum jo chalte hain to khud banta chlaa jata hai Lakh Matti main chupaa kar koi rasta rakh de Mujh se le le mere qiston pe khareede hue din Mere lamhe main mera sara zamana rakh de Mujh ko aazadi mili bhi to kuch aese Nasik Jese kamre main koi sehan se pinjra rakh de

Hath Jod K Gaal Ko Ghairatmand Main Koi Dalgeer Fahsha Nahi

Image
منگتی Mangti   ہاتھ چھوڑ کے گال کر غیرت مند میں کوئی دلگیر فحاشہ نہیں Hath Jod K Gaal Ko Ghairatmand Main Koi Dalgeer Fahsha Nahi چلو تنگ حالات دی جیل اچ ھاں پر الہر شوخ رقاصہ نہیں Chalo Tang Halaat Di Jail Ech Haan Par Halad Shokh Raqasa Nahi بھکا ویکھ کے روندے بالاں نوں پہلے بک بک آتھرو روندی ھاں Bhuka Wek K Ronde Baalaan Nu Pehly Bak Bak Athro Rondi Haan لوکی ویکھ کے مینوں ھس پوندن ہر موڑ تے جدوں کھلوندی ھاں Loki Wek K Meno Has Ponden Har Mod Te Jado Khilondi Haan مینوں ہرگز شوق ادآ دا نئیں مینوں کاسہ وقت نپایا ہے Meno Hargiz Shouq Ada Da Nai Meno Kaasa Waqt Napaya Hai مینوں در در پھرنا عادت نئیں مینوں در در بخت پھرایا ہے Meno Dar Dar Phirna Adat Nai Meno Dar Dar Bakht Phiraya Hai میں جسم فروش فحاش نئیں بس رب دے ناں تے منگدی ھاں Main Jisam Firosh Fahaash Nai Bas Rab De Naan Te Mandi Haan ناں کیسے دی سیج تے سوندی ھاں نا گھنگرو بن کے نچدی ھاں Na Kisi Di Sej Te Sondi Haan Na Ghunghro Ban K Nachdi Haan تو شہر دا حاکم کجھ نہ دے پر ایڈا غلط خیال نا کر Tu Shehar Da Hakim

Khoya Raha main Raat Ko Tere Khayal mein Aur Phir Tere Khayal mein Din Bhar Laga Raha

Image
کھویا رہا میں رات کو تیرے خیال میں اور پھر تیرے خیال میں دن بھر لگا رہا Khoya Raha main Raat Ko Tere Khayal mein Aur Phir Tere Khayal mein Din Bhar Laga Raha....!!!

Bujhey to aisey kah jaisey kisi gareeb ka dil Jaley to aiesy keh jaisey charaag jaltey hain Kaho! Jaley keh bujhey

Image
بجھے تو ایسے کہ جیسے کسی غریب کا دل جلے تو ایسے کہ جیسے چراغ جلتے ہیں کہو! جلے کہ بجھے؟؟؟؟ Bujhey to aisey kah jaisey kisi gareeb ka dil Jaley to aiesy keh jaisey charaag jaltey hain Kaho! Jaley keh bujhey????

Tumhari Ek Muskaan Se Sudhar Gayi tabiyat meri Batao na tum Ishq Karte Ho Ya ilaaj

Image
Tumhari Ek Muskaan Se Sudhar Gayi tabiyat meri Batao na tum Ishq Karte Ho Ya ilaaj

kbhi is ka dil rkha kbhi us ka dil rkha is kashmkash mein jane apna dil kahan rkha

Image
کبھی اس کا دل رکھا کبھی اُس کا دل رکھا اس کشمکش میں جانے اپنا دل کہاں رکھا ؟ world heart day कभी इस का दिल रखा कभी उस का दिल रखा इस कश्मकश में जाने अपना दिल कहां रखा ?  kbhi is ka dil rkha kbhi us ka dil rkha is kashmkash mein jane apna dil kahan rkha

Aksar sukhe hue hothon se hee hoti hai meethi baaten Piyas bujh jaye to alfaz aur insaan dono badal jaya karte hain

Image
अक्सर सूखे हुए होंठों से ही होती हैं मीठी बातें, प्यास बुझ जाये तो अल्फ़ाज़ और इंसान दोनों बदल जाया करते हैं...!!! Aksar sukhe hue hothon se hee hoti hai meethi baaten Piyas bujh jaye to alfaz aur insaan dono badal jaya karte hain...!!!

Aik Sanwli K Abro Ko Tamam Yaad Thay Hairat K Na-Rasayi K Inkaar K Asha'ar

Image
اک سانولی کے ابرو کو  تمام یاد تھے حیرت کے نارسائی کے انکار کے اشعار رزب تبریز Aik Sanwli K Abro Ko Tamam Yaad Thay Hairat K Na-Rasayi K Inkaar K Asha'ar Razab Tabraiz

Hathon pay koi zakhm, na pairon pay Kuch nishan Soochon main thee pari howee, zanjeer jo bhi thee

Image
ھاتھوں پہ کوئی زخم ، نہ پیروں پہ کچھ نشاں سوچوں میں تھی پڑی ھُوئی ، زنجیر جو بھی تھی امجد اسلام امجد Hathon pay koi zakhm, na pairon pay Kuch nishan Soochon main thee pari howee, zanjeer jo bhi thee Amjid Islam Amjid  

Yaqeen Mujhe Bhi Hai Woh Aaengy Zaroor Magar Wafa Kare Gi Kahan Tak K Zindagi Hi Tou Hai

Image
Yaqeen Mujhe Bhi Hai Woh Aaengy Zaroor Magar Wafa Kare Gi Kahan Tak K Zindagi Hi Tou Hai

Badi mushkil se banee hoo toot jane ke baad Main aaj bhi ro deti hoo muskurane ke baad

Image
Badi mushkil se banee hoo toot jane ke baad Main aaj bhi ro deti hoo muskurane ke baad Tujh se muhabbat thi mujhe beintiha Lekin aksar ye mehsoos hua tere jane ke baad Ab tak dhoondh rahe ho apne andar ke us shaks ko Jo nazar se kho gaya hai nazar aane ke baad

Wohi aable hain wohi Jalan, koi soz-e dil mai kami nahi Wo jo aag tum thai laga gaye, wo lagi hui hai bujhi nahi

Image
Wohi aable hain wohi Jalan, koi soz-e dil mai kami nahi Wo jo aag tum thai laga gaye, wo lagi hui hai bujhi nahi

JIS NE KAATI HO ,WOHI MUJH KO BATAAE MOHSIN IK SHAB E HIJAR MAIN ,HOTAY HAIN ZAMAANAY KITNAY

Image
جس نے کاٹی ہو وہی مجھ کو بتائے محسن اِک شبِ ہجــــر میں ہوتے ہیں زمانے کتنے JIS NE KAATI HO ,WOHI MUJH KO BATAAE MOHSIN IK SHAB E HIJAR MAIN ,HOTAY HAIN ZAMAANAY KITNAY

Main Jese Dhoondhnay Nikla Tha Usay Paa Na Saka Ab Jidhar Jee Tera Chahay Mujhe Khushboo Le Ja

Image
میں جسے ڈھونڈنے نکلا تھا اسے پا نہ سکا اب جدھر جی ترا چاہے مجھے خوشبو لے جا मैं जिसे ढूँडने निकला था उसे पा न सका अब जिधर जी तेरा चाहे मुझे ख़ुश्बू ले जा   Main Jese Dhoondhnay Nikla Tha Usay Paa Na Saka Ab Jidhar Jee Tera Chahay Mujhe Khushboo Le Ja

Ab To Ye Bhi Nahi Raha Ehesas Dard Hota Hai Ya Nahi Hota

Image
Ab To Ye Bhi Nahi Raha Ehesas Dard Hota Hai Ya Nahi Hota Ishq Jab Tak Na Kar Chuke Ruswa Aadmi Kaam Ka Nahi Hota Jigar Muradabadi

Ye keya ada hai k jab un ki barhami sy hum Na mar sakay tu hamein muskura k maar dya

Image
یہ کیا ادا ہے کہ جب ان کی برہمی سے ہم نہ مر سکے تو ہمیں مسکرا کے مار دیا    عدم Ye keya ada hai k jab un ki barhami sy hum  Na mar sakay tu hamein muskura k maar dya  Addam   

Mujhe Manziloon Ka Shaour Tha Mujhe Rastoon Ne Thaka Diya Kabhi Jin Pe Mujh Ko Yaqeen Tha unhi Sathiyon Ne Dagha Diya

Image
Mujhe Manziloon Ka Shaour Tha Mujhe Rastoon Ne Thaka Diya Kabhi Jin Pe Mujh Ko Yaqeen Tha unhi Sathiyon Ne Dagha Diya Mera Saath Paane Ki Aarzoo Kbhi Kitni Tumko Azeez Thi Mujhe Tum Pe Kitna Ghuroor Tha,Sabhi Khaak Main Wo Mila Diya Kabhi Is Taraf Jo Guzar Ho,Meri Chashm-e-Tar Tu Bhi Dekhna Teri Bad-Gumani Ki Aanch Ne Mujhe Kya Se Kya Bana Diya Naye Khuwab Ban Ke Nigaah Main,Meri Dastaras Se Nikal Gaye Bana uskey Paon Ki Dhool Main,Mujhe Kaisa Wafa Ka Sila Diya Main Teri Hi Zaat Ka Akas Tha,Tera Ishq Tera Naseeb Tha Main To Manziloon Ka Nishaan Tha,Mujhe kyun Be-nishaan Bana Diya Main Kyun Sar Se Paaun Tak Badal Gaya Ke Mera Wajood Kahan Kho Gaya Teri Be-wafai Ne Mere Mehrbaan,Mujhe Kya Se Kya bana Diya

Ojhal sahi nigah se dooba nahi hon main Ae Raat khabardar k Haara nahi hon main

Image
Ojhal sahi nigah se dooba nahi hon main Ae Raat khabardar k Haara nahi hon main Darpesh Subh o Sham yehi kashmakash hai ab Us ka banon main kese k ap na nahi hon main Mujh ko Farishta honay ka daawa nahi magar Jitna bura samjhtay ho utna nahi hon main Mumkin nahi hai mujh se ye Tarz e Munaafiqat Dunya tere mizaaj ka banda nahi hon main

Chalo Mohsin Mohabbat Ki Nayi Bunyaad Rakhtay Hain Khud Paband Rehtay Hain, Usay Azad Rakhtay Hain

Image
Chalo Mohsin Mohabbat Ki Nayi Bunyaad Rakhtay Hain Khud Paband Rehtay Hain, Usay Azad Rakhtay Hain Hamare Khoon Main Rab Ne Yehi Taseer Rakhi Hai Burai Bhool Jatay Hain Achhayi Yaad Rakhtay Hain Mohabat Main Kahein Hum Se Gustakhi Na Ho Jaye Ham Apna Har Qadam Uss K Qadam K Baad Rakhtay Hain

Tere Chilman Se Ik Mad Bheed Mein Jo Rotha Tha Humi Se Sukhan Karta Hai Woh Ab Takrar Sa Lahja

Image
تیرے چلمن سے اک مڈ بهیڑ میں  جو روٹھ بیٹها تها ہمی سے سخن کرتا ہے  وہ اب تکرار سا لہجہ (رزب تبریز) Tere Chilman Se Ik Mad Bheed Mein Jo Rotha Tha Humi Se Sukhan Karta Hai Woh Ab Takrar Sa Lahja Razab Tabraiz

Chaand Ik Toota Hua Tukda Mere Jaam Ka Hai Ye Mera Qoul Nahi Hazrat Khayyam Ka Hai

Image
چاند اک ٹوٹا ہوا ٹکڑا میرے جام کا ہے یہ میرا قول نہیں حضرت خیام کا ہے ہم سے پوچھو کہ, غزل مانگتی ہے کتنا لہو سب سمجھتے ہیں یہ دھندا بڑے آرام کا ہے Chaand Ik Toota Hua Tukda Mere Jaam Ka Hai Ye Mera Qoul Nahi Hazrat Khayyam Ka Hai Hum Se Poocho Keh Ghazal Mangti Hai Kitna Lahoo Sab Samajhtay Hain Yeh Dhanda Badey Aaraam Ka Hai

Ye khizan ki zard sii shaal mein jo udaas ped ke paas hai ye tumhare ghar ki bahar hai usey ansooun se hara karo

Image
Ye khizan ki zard sii shaal mein jo udaas ped ke paas hai ye tumhare ghar ki bahar hai usey ansooun se hara karo

Main cahata bhi yehee tha wo bewafa nikly Usay samajhnay ka koi to silsila niklay

Image
میں چاھتا بھی یہی تھا وہ بیوفا نکلے اسے سمجھنے کا ، کوئی تو سلسلہ نکلے   Main cahata bhi yehee tha wo bewafa nikly Usay samajhnay ka koi to silsila niklay

Nazar milaye to pochungi ISHQ ka Anjaam Nazar jhukaye to khali Salam kar longi

Image
Nazar milaye to pochungi ISHQ ka Anjaam Nazar jhukaye to khali Salam kar longi

us ko juda hue bhi zamana bahut hua ab kya kahen ye qissa purana bahut hua

Image
us ko juda hue bhi zamana bahut hua ab kya kahen ye qissa purana bahut hua Dhalati na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq ai marg-e-nagahan tera ana bahut hua ham Khuld se nikal to gaye hain par ai Khuda itane se vaqaye ka fasana bahut hua ab ham hain aur sare zamane ki dushmani us se zara rabt badhana bahut hua ab kyon na zindagi pe muhabbat ko waar den is ashiqi mein jan se jana bahut hua ab tak to dil ka dil se tarruf na ho saka mana ki us se milna milana bahut hua kya kya na ham Kharab hue hain magar ye dil ai yad-e-yar tera Thikana bahut hua kahata tha naseehon se mere muunh na aiio phir kya tha ek hoo ka bahana bahut hua lo phir tere labon pe usi bewafa ka zikr ahmad Faraz tujh se kaha na,bahut hua

Hamare Sheher Aa Jao Sada Barsaat Rehti Hai Kabhi Badal Baraste Hain Kabhi Aankhen Barasti Hain

Image
ہمارے شہر آجاؤ صدا برسات رہتی ہے کبھی بادل برستے ہیں کبھی آنکھیں برستی ہیں Hamare Sheher Aa Jao Sada Barsaat Rehti Hai Kabhi Badal Baraste Hain Kabhi Aankhen Barasti Hain

Zidd par agar Ishq aa jaye Pani chirkey, aag lagaye

Image
Zidd par agar Ishq aa jaye Pani chirkey, aag lagaye

Kaun is ghar ki dekh bhaal karey Roz ek cheez toot'ti jaati hai

Image
Kaun is ghar ki dekh bhaal karey Roz ek cheez toot'ti jaati hai

Dil pe Taari ajab bekhudi karli Hamne andheron se dosti karli

Image
دل پہ طاری عجب بے خودی کرلی ہم نے اندھیروں سے دوستی کرلی اس سے پہلے کہ آتی غموں کی لہر خود سے ناراض ہر خوشی کر لی کوئ پڑھ لے نہ دکھ کی عبارت میری جھک کے سجدے میں جبیں اپنی کرلی سچ تو یہ ھے تمہارے بن .... کچھ نہ سوجھا تو شاعری کر لی کون پوچھے دلٍ مضطر سے کیوں خواہشوں کی نفی کر لی تاشفین فاروقی Dil pe Taari ajab bekhudi karli Hamne andheron se dosti karli Is se pehly k aati ghamon ki leher khud se naraaz har khushi kar li Koi parh le na dukh ki ibaarat meri Jhuk k sajdy main jabee'n apni karli Sach tu ye hai Tumhary bin Kuch na soojha tu Shairi karli Koun poochy dil e muztir se Kion khuahison ki nafi karli Poetry written by Tashfeen Farooqi

About Atbaf Abrak

Image
اک سوال مختلف الفاظ میں بار بار پوچھا گیا اتباف ابرک کون ہے۔۔۔اس کا تعارف چاہئے۔۔۔ ہر بار یہی جواب دیا کہ جو لکھتا ہوں۔۔۔ وہی میں ہوں۔۔۔ وہی میرا تعارف ہے خیال تھا یہی جواب کافی ہے اور آپ میرے لکھے سے ہی مجھے پہچاننے لگیں گے ایسا کسی حد تک ہوا بھی لیکن درمیان میں ایک اور مسئلہ درپیش آ گیا جو آہستہ آہستہ سنگین ہوتا چلا گیا مختلف حضرات اتباف ابرک بن کر فیس بک پر اپنی فیک آئی ڈیز بنا کر لوگوں سے رابطہ کرنے لگے اور ظاہر ہیں ان رابطوں کا عمومی شکار خواتین ہی تھیں کسی اتباف ابرک صاحب نے لکھا اپنی آواز میں اپ لوڈ کرنا شروع کر دیا تو کسی نے فیس بک پر لائیو سوالوں کے جواب دینے شروع کر دئے پھر ایک اتباف ابرک صاحب کا پتہ چلا کہ وہ کوئی مشاعرہ بھی پڑہ آئے ہیں خیال تھا کہ یہ سلسلہ آہستہ آہستہ تھم جائے گا لیکن میرے اکثر خیالات کی طرح میرا یہ خیال بھی غلط ثابت ہوا خواتین کی شکایات میں روز بروز اضافہ ہوتا گیا مجھے اکثر انباکس میں تصاویر بھیج کر پوچھا جانے لگا کہ یہ آپ ہیں جو ظاہر ہے میں نہیں ہوتا تھا بڑھتی ہو شکایات اور کسی ناخوشگوار واقعے کی روک تھام کیلئے اپنا فیس

Jalaa dil toh jali ungliyaan bhi Kambakhat aag thi ke sab kuchh raakh kar gayee

Image
Jalaa dil toh jali ungliyaan bhi Kambakhat aag thi ke sab kuchh raakh kar gayee

Itni shidaat se na kar terk e ta'aluq ka sawal Yeh na ho hum se Teri baat na tali jaye

Image
اتنی شدت سے نہ کر ترکِ تعلق کا سوال یہ نہ هو هم سے، تری بات نہ ٹالی جائے Itni shidaat se na kar terk e ta'aluq ka sawal Yeh na ho hum se Teri baat na tali jaye

Wo subah teri thi jo mujh sy Roth gaii Yeh shaam Meri tarah tere intizar Mein hai

Image
وہ صبح تری طرح تھی ، جو مجھ سے روٹھ گئ یہ شام مری طرح تیرے انتظار میں ہے Wo subah teri thi jo mujh sy Roth gaii Yeh shaam Meri tarah tere intizar Mein hai

Neend Raton Ki Udha Dete Hain Hum Sitaron Ko Dua Dete Hain

Image
Neend Raton Ki Udha Dete Hain  Hum Sitaron Ko Dua Dete Hain Roz Achhay Nahi Lagte Aansoo Khaas Maokon Pe Maza Dete Hain Haye Woh Log Jo Dekhe Bhi Nahi Yaad Aaein Tou Rula Dete Hain Aag Apne Hi Laga Saktey Hain Ghair Tou Sirf Hawa Dete Hain

Main ne uss ko itna dekha jitna dekha Ja sakta tha Do aankhon se lekin aakhir kitna dekha Ja sakta tha

Image
میں نے اُس کو اتنا دیکھا جتنا دیکھا جا سکتا تھا دو آنکھوں سے لیکن آخر کتنا دیکھا جا سکتا تھا Main ne uss ko itna dekha jitna dekha Ja sakta tha Do aankhon se lekin aakhir kitna dekha Ja sakta tha

kisi k lmss ki taaseer hai k brson baad meri kitabon mein ab bhi gulaab jagtey hein

Image
کسی کے لمس کی تاثیر ہےکہ برسوں بعد مری کتابوں میں اب بھی گلاب 🌹 جاگتے ہیں किसी के लम्स की तासीर है  कि बरसों बा'द मेरी किताबों में अब भी गुलाब 🌹 जागते है kisi k lmss ki taaseer hai k brson baad meri kitabon mein ab bhi gulaab 🌹 jagtey hein

Silsila Torr Diya us ne to Ye Sadaen Kaisi? Ab jo Milna Hi Nahi, Phir ye Wafaen Kaisi?

Image
Silsila Torr Diya us ne to Ye Sadaen Kaisi? Ab jo Milna Hi Nahi, Phir ye Wafaen Kaisi? Main ne Chaha tha Sab Shikwey Giley Door Karna Us ne Zehmat hi na ki Sunne ki To Ye Aahen Kaisi? Ley Lo Wapas Wo Aansoo Wo Tarap or Wo Yaaden Sari Nahi Koi Jurm Mera to Phir ye Sazaen Kaisi

Sun kar tamaam raat Meri dastaan - e - gham Boley to sirf yeh ke Bohat boltey ho tum

Image
Sun kar tamaam raat Meri dastaan - e - gham Boley to sirf yeh ke Bohat boltey ho tum ..!!

Parra rehne de ae zaahid mujhe koocha e jaana mein Na main jannat ke qaabil hoon Na jannat mere qaabil hai

Image
Parra rehne de ae zaahid mujhe koocha e jaana mein Na main jannat ke qaabil hoon Na jannat mere qaabil hai...!!!

Halkay mein mat le sanwalay rang ko Main ne yahan doodh se zeyada chaaye ke deewanay dekhy hain

Image
ہلکے میں مت لے سانولے رنگ کو میں نے یہاں دودھ سے زیادہ چاۓ کے دیوانے دیکھے ہیں Halkay mein mat le sanwalay rang ko Main ne yahan doodh se zeyada chaaye ke deewanay dekhy hain

Naqsh They Haath Ki Lakeeron Mein Dastarass Se Magarr Parrey Tum They

Image
نَقش تھے ہاتھ کی لکِیروں میں دَسترَس سے مَگر پرَے تُم تھے Naqsh They Haath Ki Lakeeron Mein Dastarass Se Magarr Parrey Tum They ہَم نے جِس راہ کا اِنتَخاب کِیا اُس کے ہَر مَوڑ پَر کھَڑے تُم تھے Hum Ne Jiss Raah Ka Intakhaab Kiya Uss Ke Har Moarh Par Kharhey Tum They

wo mujh ko bhool chuka ab yakeen hai warna wafa nahi to jafaaon ka silsila rkhta

Image
وہ مجھ کو بھول چکا اب یقین ہے ورنہ وفا نہیں تو جفاؤں کا سلسلہ رکھتا वो मुझ को भूल चुका अब यक़ीन है वर्ना  वफ़ा नहीं तो जफ़ाओं का सिलसिला रखता wo mujh ko bhool chuka ab yakeen hai warna wafa nahi to jafaaon ka silsila rkhta

Aaj imaan mera thora kharab hai Aankhon mein wo aur haathon mein sharaab hai

Image
आज ईमान मेरा थोड़ा ख़राब है आँखों में वो और हाथों में शराब है...!!! Aaj imaan mera thora kharab hai Aankhon mein wo aur haathon mein sharaab hai...!!!

Rehtey They Pastiyon Mein Magar Khudd Pasandd They Humm Loag , Iss Lehaaz Se Kitney Buland They

Image
رِہتے تھے پَستیوں میں ، مگَر خُود پَسند تھے ہَم لوگ اِس لِحَاظ سے کِتنے بُلَند تھے  Rehtey They Pastiyon Mein Magar Khudd Pasandd They Humm Loag , Iss Lehaaz Se Kitney Buland They

Safar Mein Raat Jo Aayii To Saath Chhorh Gayey Jinhon Ne Haath Barhaaya Tha Raahnumaayi Ka

Image
سفَر میں رات جو آئی تو ساتھ چھوڑ گَئے جِنہوں نے ہاتھ بڑھایا تھا رہنُمائی کا Safar Mein Raat Jo Aayii To Saath Chhorh Gayey Jinhon Ne Haath Barhaaya Tha Raahnumaayi Ka کوئی سوال جو پُوچھے ، تو کیا کہُوں اُس سے بِچھَڑنے والے ! سَبب تو بتا جُدائی کا Koii Sawaal Jo Poochhey, To Kiya Kahoon Uss Se Bichharhney Waaley , ! Sababb To Bata Judaayi Ka