Mujhe Manziloon Ka Shaour Tha Mujhe Rastoon Ne Thaka Diya Kabhi Jin Pe Mujh Ko Yaqeen Tha unhi Sathiyon Ne Dagha Diya



Mujhe Manziloon Ka Shaour Tha Mujhe Rastoon Ne Thaka Diya
Kabhi Jin Pe Mujh Ko Yaqeen Tha unhi Sathiyon Ne Dagha Diya
Mera Saath Paane Ki Aarzoo Kbhi Kitni Tumko Azeez Thi
Mujhe Tum Pe Kitna Ghuroor Tha,Sabhi Khaak Main Wo Mila Diya
Kabhi Is Taraf Jo Guzar Ho,Meri Chashm-e-Tar Tu Bhi Dekhna
Teri Bad-Gumani Ki Aanch Ne Mujhe Kya Se Kya Bana Diya
Naye Khuwab Ban Ke Nigaah Main,Meri Dastaras Se Nikal Gaye
Bana uskey Paon Ki Dhool Main,Mujhe Kaisa Wafa Ka Sila Diya
Main Teri Hi Zaat Ka Akas Tha,Tera Ishq Tera Naseeb Tha
Main To Manziloon Ka Nishaan Tha,Mujhe kyun Be-nishaan Bana Diya
Main Kyun Sar Se Paaun Tak Badal Gaya Ke Mera Wajood Kahan Kho Gaya
Teri Be-wafai Ne Mere Mehrbaan,Mujhe Kya Se Kya bana Diya

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo