Tha Jo Aankhon Ka Kajal Wahi Aansooun Ka Sabab Ho Gaya Aaina Tukde Tukde Hua Dil Lagana Gazab Ho Gaya




Tha Jo Aankhon Ka Kajal Wahi Aansooun Ka Sabab Ho Gaya
Aaina Tukde Tukde Hua Dil Lagana Gazab Ho Gaya

Shakhseeyat Ka Jab Farq Tha Lafz Bhi Mere Bonay Hoe
Main Jo Boli Woh Be-Kaar Tha Woh Jo Bola Woh Adab Ho Gaya

Main Ussay Zindagi Sonp Kar Uss K Aangan Ki Baandi Rahi
Mujhko Do Rotiyan De K Woh Samajhta Hai Rabb Ho Gaya

Main Ussay Rokti Reh Gayi Main Ussay Thoktay Reh Gayi
Aur Safar Se Woh Laota Bhi Kab Jab Ye Dil Be-Talab Ho Gaya

Poetess:Dr Naseem Nikhat

2 comments:

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo