Woh Zindagi Hai Ussay Phir Door Ho Na Jana Apni Anaa Se Itna Majboor Ho Na Jana



Woh Zindagi Hai Ussay Phir Door Ho Na Jana
Apni Anaa Se Itna Majboor Ho Na Jana

Ik Roz Phir Palat Kar Aaiga Jane Wala
Dehleez K Chiragho Be-Noor Ho Na Jana

Shuhrat Ko Har Qadam Par Hai Dushmani Ka Khatra
Kuch Log Jal Na Jaein Mashhor Ho Na Jana

Sach Bolna Bhi Lazim Jeena Bhi Hai Zaroori
Sach Bolnay Ki Dhun Mein Mansoor Ho Na Jana

Kab Ik Jagah Pe Thehre Ye Mousami Parendey
Thori Sii Shuhrato Par Maghroor Ho Na Jana

Pathar Tou Aainon Ki Taqdeer Mein Lekhe Hain
Khud Ko Bacha Ke Rakhna Kahein Choor Ho Na Jana

Ik Umar Chal Ke Nikhat Tere Qareeb Pahunchi
Ab Phir Na Rooth Jana Phir Door Ho Na Jana

Poetess:Dr Naseem Nikhat

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo