Chaak-e-Daman Ko Jo Dekha Tou Mila Eid Ka Chand Apni Taqdeer Kahan Bhool Gaya Eid Ka Chand



Chaak-e-Daman Ko Jo Dekha Tou Mila Eid Ka Chand
Apni Taqdeer Kahan Bhool Gaya Eid Ka Chand

Un Ke Abro-e-Khameeda Ki Tarah Tikha Hai
Apni Aankhon Mein Badi Der Chupa Eid Ka Chand

Jane Kion Aap Ke Rukhsaar Mehik Uthty Hain
Jab Kabhi Kaan Mein Chupky Se Kaha Eid Ka Chand

Door Veeran Basere Mein Diya Ho Jaise
Gham Ki Deewaar Se Dekha Tou Laga Eid Ka Chand

Le Ke Halaat Ke Sahraon Mein Aa Jata Hai
Aaj Bhi Khuld Ki Rangeen Fiza Eid Ka Chand

Talkhiyan Barh Gaein Jab Zeest Ke Paimane Mein
Ghol Kar Dard Ke Maron Ne Piya Eid Ka Chand

Chashm Tou Wusa'at-e-Aflak Mein Khoi "SAGHAR"
Dil Ne Ik Aur Jagah Dhoond Liya Eid Ka Chand
Poet:Saghar Siddiqui

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo