Kiyon tere saath rahein umar basar hone tak
Hum na dekhengy imarat ko khandar hony tak
Tum tou darwaza khula dekh ke dar aae ho
Tum ne dekha nahi deewar ko dar hone tak
chup rahen aah bharen chidh uthen ya mar jaaen
kia karen be-khabro tum ko khabar hone tak
Hum pe kar dhyan are chand ko takne wale
Chaand ke paas tou muhlat hai sahar hone tak
Haal mat poochiye kuch batein batane ki nahi
bas dua kijiye duaon mein asar hone tak
sag-e-awara ke manind muhabbat ke faqeer
Dar-ba-dar hote rahe shehar-badar hone tak
Aap maali hain na soraj hain na mausam phir bhi
Beej ko dekhte rahiyega samar hone tak
Dasht-e-khamosh mein dam sadhe poda rehta hai
Paanv ka pehla nishan rah-guzar hone tak
Faani hone se na ghabraiye "Faris" ki hamen
An-ginat martaba marna hai amar hone tak
Poet:Rehman Faris
No comments:
Post a Comment