Main kar-amad hoon ya be-kaar hoon main Magar ay yaar tera yaar hoon main
Main kar-amad hoon ya be-kaar hoon main
Magar ay yaar tera yaar hoon main
Jo dekha hai kisi ko mat batana
Ilaqe bhar mein izzat-dar hoon main
Khud apni zaat ke sarmae mein bhi
Sifar feesad ka hissa-dar hoon main
Aur ab kiyon bain karte aa gaye hon
Kaha tha na buhat bemaar hoon main
Meri tou saari dunya bas tum hi ho
Ghalat kia hai jo dunya-dar hoon main
Kahani mein jo hota hi nahi hai
Kahani ka wahi kirdar hoon main
Ye tai karta hai dastak dene wala
Kahan dar hoon kahan deewaar hoon main
Koi samjhae mere dushmanon ko
Zara si dosti ki maar hoon main
Mujhe pathar samajh kar pesh mat aa
Zara sa rahm kar jaan-daar hoon main
Bas itna soch kar kijiye koi hukam
Bada munh-zor khidmat-gar hoon main
Koi shak hai tou be-shak aazma le
tera hone ka da'awe-dar hoon main
Agar har haal mein khush rehna fan hai
Tou phir sab se bada fan-kaar hoon main
Zamana tou mujhe kehta hai "Faris"
Magar "Faris" ka parda-daar hoon main
Unhein khilna sikhata hoon main "Faris"
Gulabon ka saholat-kaar hoon main
Poet:Rehman Faris
Comments
Post a Comment