Tadbeer Ka Kasa Hai , Taqdeer Gadager Hai Aiwan-e-Sakhawat Ka Ta'ameer Gadager Hai (Saghar Siddiqui)



Tadbeer Ka Kasa Hai , Taqdeer Gadager Hai
Aiwan-e-Sakhawat Ka Ta'ameer Gadager Hai

Sao Rang Bhare Iss Mein Phir Bhi Ye Rahi Moorat
Ehsaas e Tasawwer Mein Tasweer Gadager Hai

Halaat Ke Daman Mein Iflaas-e-Taghayur Hai
Iss Daur Mein Insan Ki Tauqeer Gadager Hai

Ab Shehar-e-Baseerat Ki Onchi Hoi Deewaaren
Chadty Hoe Sooraj Ki Tanweer Gadager Hai

Har Daagh Tamanna Hai Kashkol Gham-e-Hasti
Aahoon Se Shikayat Hai Tasur Gadager Hai

Fankaar Ki Har Sorat Dayuza-e-Naghma Hai
"SAGHAR" Dar-e-Zandaan Par Zanjeer Gadager Hai

Poet:Saghar Siddiqui

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo