Posts

Showing posts from July, 2019

Uss ke chahray ko tu ne theek se dakha hi nahi Panch jheelon ke barabar tou faqat ankhain hain

Image
اس کے چہرے کو تو نے ٹھیک سے دیکھا ہی نئیں پانچ جھیلوں کے برابر تو فقط آنکھیں ہیں Uss ke chahray ko tu ne theek se dakha hi nahi Panch jheelon ke barabar tou faqat ankhain hain

Kuch nahi chahiyye tujh se aye meri umr-e-rawan Meri gurya, mere jugnoo, mera bachpan laadey

Image
Kuch nahi chahiyye tujh se aye meri umr-e-rawan Meri gurya, mere jugnoo, mera bachpan laadey

Kehna ghalat ghalat !! Toh chupana ! Sahee sahee Qasid kaha jo Uss ne , btana ! sahee sahee

Image
کہنا غلط غلط!! تو، چھپانا! صحیح صحیح قاصد کہا جو اس نے، بتانا! صحیح صحیح یہ صبح صبح چہرے کی، رنگت اُڑی ہوئی کل رات تم!! کہاں تھے؟ بتانا! صحیح صحیح دل لے کے میرا ہاتھ میں، کہتے ہیں مجھ سے وہ کیا لو گے اس کے دام؟ بتانا صحیح صحیح Kehna ghalat ghalat !! Toh chupana ! Sahee sahee Qasid kaha jo Uss ne , btana ! sahee sahee Ye subah subah chehre ki , rangat uri uri Kal raat tum kahan tha ?? Batana sahee sahee Dil le ke mera haath main , kehte hain mujh se woh Kia lo ge is ke daam ?? Batana sahee sahee

Woh,Pehley DIL Mein Utarney Ke Fun Mein Taaq Hua Phir Uss Ne Seekha Hunar Baat Se Mukarney Ka

Image
وُہ پِہلے دِل میں اُترنے کے فَن میں طاق ہُوا پھِر اُس نے سِیکھا ہُنر ، بات سے مُکرنے کا ہَم آیک بار نَہِیں ، بَار بَار مارے گئے ہَمیں جُنون چَڑھا تھا، کِسی پہ مرنے کا Woh,Pehley DIL Mein Utarney Ke Fun Mein Taaq Hua Phir Uss Ne Seekha Hunar Baat Se Mukarney Ka Hum Aik Baar Nahin,Baar Baar , Maarey Gaye Humein Junoon Charha Tha Kisi Pe Marrney Ka

Aqal Aur Main Toh Muttafiq Hein Magar Aik DIL , Darmiyaan Mein Rehta Hai

Image
عَقل آور مَیں ،تو مُتفِق ہیں مَگر آیک دِل ، دَرمیان میں رِہتا ہَے Aqal Aur Main Toh Muttafiq Hein Magar Aik DIL , Darmiyaan Mein Rehta Hai

Guzarte ja rahe hain maah o saal zindgaani Magar ek gham pas e umar e rawan thehra hua hai

Image
Guzarte ja rahe hain maah o saal zindgaani Magar ek gham pas e umar e rawan thehra hua hai

Ik umar se hon lazzat e giriya se bhi mahroom Aa rahat e jaan mujhko rulaane k liye aa

Image
Ik umar se hon lazzat e giriya se bhi mahroom Aa rahat e jaan mujhko rulaane k liye aa

In barishon se keh do barsna hai toh khul kar barsai Itni rim jhim toh hamari aankhon mein hamesha rehti hai

Image
ان بارشوں سے کہہ دو برسنا ہے تو کھل کے برسے اتنی رم جھم تو ہماری آنکھوں میں ہمیشہ رہتی ہیں In barishon se keh do barsna hai toh khul kar barsai Itni rim jhim toh hamari aankhon mein hamesha rehti hai

Bai-jagah barasne par abar se gila kaisa Kon kitna piyasa hai barishon ko kiya maloom

Image
بے جگہ برسنے پر ابر سے گلہ کیسا کون کتنا پیاسا ہے بارشوں‌کو کیا معلوم Bai-jagah barasne par abar se gila kaisa Kon kitna piyasa hai barishon ko kiya maloom

Rook sako tu pehli barish ki bondo ko tum roko Kache mitthi tou mehkai gi hai mitthi ki majbori

Image
روک سکو تو پہلی بارش کی بوندوں کو تم روکو کچی مٹی تو مہکے گی، ہے مٹی کی مجبوری Rook sako tu pehli barish ki bondo ko tum roko Kache mitthi tou mehkai gi hai mitthi ki majbori

Jaan Ki Parwah Kis Ko Ho,Jab Qaatil Ho ,Yaaron Saa Baatein Hon Dildaaron Jaisi,Lehjah Ho , Gham Khawaaron Saa

Image
جان کی پروا پھِر کِس کو ہو، جَب قاتل ہو یاروں سا باتیں ہوں دِلداروں جیَسِی ،لِہجہ ہو غَم خواَروں سَا Jaan Ki Parwah Kis Ko Ho,Jab Qaatil Ho ,Yaaron Saa Baatein Hon Dildaaron Jaisi,Lehjah Ho , Gham Khawaaron Saa

Mujhe dard-e-dil ka pata na tha, mujhe aap kis liye mil gaye Main akela yuun hi maze mein tha, mujhe aap kis liye mil gaye

Image
Mujhe dard-e-dil ka pata na tha, mujhe aap kis liye mil gaye Main akela yuun hi maze mein tha, mujhe aap kis liye mil gaye Yuun hi apane safar mein gum, kahi door main kahi door tum Chale ja rahe the juda juda, mujhe aap kis liye mil gaye Main ghareeb haath badha toh don, tumhe pa sakon ke na pa sakon Meri jaan bahot hain ye faasla, mujhe aap kis liye mil gaye Na main chaand hoon kisi shaam ka, na chiraagh hoon kisi baam ka Main toh raaste ka hoon ek diya, mujhe aap kis liye mil gaye

kuch ishq tha kuch majbori thi so main ne jeewan war diya main kaisa zinda admi tha ik shakhs ne mujh ko mar diya

Image
kuch ishq tha kuch majbori thi so main ne jeewan war diya main kaisa zinda admi tha ik shakhs ne mujh ko mar diya ye saja sajaya ghar saqi meri zat nahin mera hal nahin ay kash kabhi tum jan sako jo us shakhs ne azar diya main khuli hui ik sachai mujhe jan'ne wale jante hain main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon se pyar kiya woh ishq bahut mushkil tha magar asan na tha yun jeena bhi us ishq ne zinda rahne ka mujhe zarf diya pindar diya ik sabz shakh gulab ki tha ik duniya apne pyar ki tha woh ek bahar jo ai nahin us k liye sab kuch har diya main rota hoon aur asman se tare tutate dekhta hon un logon par jin logon ne mere logon ko azar diya woh yar hon ya mahboob mere ya kabhi kabhi milne wale ik lazzat sab k milne mein woh zakham diya ya pyar diya

Koi rafugari karay ga meri? Ishq khaa gya,jaga jaga se

Image
کوئی رفوگری کرے گا میری عشق کھا گیا "جگہ جگہ "سے Koi rafugari karay ga meri? Ishq khaa gya,jaga jaga se

Woh chahta tha magar pehlay,main ne chora haath Us ke hisay ki nidamat bhi uthaai main ne

Image
وہ چـاہتـا تھـا مگـر پہلـے مـیں نـے چـھوڑا ہاتـھ اُس کـے حصـے کـی ندامـت بھـی اُٹھـائـی مـیں نـے Woh chahta tha magar pehlay,main ne chora haath Us ke hisay ki nidamat bhi uthaai main ne

Harees Nazren Haya Ki Devi Ko Nochti Hain Azab e Jaan Hai Kisi Ki Beti Agar Jawan Hai

Image
حریص نطریں حیا کی دیوی کو نوچتی ہیں عذابِ جاں ہے کسی کی بیٹی اگر جواں ہے Harees Nazren Haya Ki Devi Ko Nochti Hain Azab e Jaan Hai Kisi Ki Beti Agar Jawan Hai

Basti Bhi Samandar Bhi Bayabaan Bhi Mera Hai Aankhen Bhi Meri Khuwaab e Pareshan Bhi Mera Hai

Image
بستی بھی سمندر بھی بیاباں بھی مرا ہے آنکھیں بھی مری خواب ِ پریشاں بھی مرا ہے جو ڈوبتی جاتی ہے وہ کشتی بھی ہے میری جو ٹوٹتا جاتا ہے وہ پیماں بھی مرا ہے Basti Bhi Samandar Bhi Bayabaan Bhi Mera Hai Aankhen Bhi Meri Khuwaab e Pareshan Bhi Mera Hai Jo Doobti Jati Hai Woh Kashti Bhi Hai Meri Jo Toot'ta Jata Hai Woh Paimaan Bhi Mera Hai

Betiyan Zakhm ... Seh Nahi Patein Betiyan Dard ... Keh Nahi Patein

Image
ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﺯﺧﻢ ... ﺳﮩﮧ ﻧﮩﯿﮟ ﭘﺎﺗﯿﮟ ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﺩﺭﺩ ... ﮐﮩﮧ ﻧﮩﯿﮟ ﭘﺎﺗﯿﮟ ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﺍٓﻧﮑﮫ ... ﮐﺎ ﺳﺘﺎﺭﺍ ﮨﯿﮟ ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﺩﺭﺩ ... ﻣﯿﮟ ﺳﮩﺎﺭﺍ ﮬﯿﮟ۔ ﺑﯿﭩﯿﻮﮞ ﮐﻮ ... ﮨﺮﺍﺱ ﻣﺖ ﮐﺮﻧﺎ ﺍﻥ ﮐﻮ ﮨﺮ ﮔﺰ ... ﺍﺩﺍﺱ ﻣﺖ ﮐﺮﻧﺎ ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﻧﻮﺭ ... ﮨﯿﮟ ﻧﮕﺎﮨﻮﮞ ﮐﺎ ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﺑﺎﺏ ... ﮨﯿﮟ ﭘﻨﺎﮨﻮﮞ ﮐﺎ ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﺩﻝ ﮐﯽ ... ﺻﺎﻑ ﮨﻮﺗﯽ ﮨﯿﮟ ﮔﻮﯾﺎ ﮐﮭﻠﺘﺎ ... ﮔﻼﺏ ﮨﻮﺗﯽ ﮨﯿﮟ ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﻋﮑﺲ ... ﺍﭘﻨﯽ ﻣﺎﻭٔﮞ ﮐﺎ ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﮨﯿﮟ ... ﺛﻤﺮ ﺩﻋﺎﻭٔﮞ ﮐﺎ ﺑﯿﭩﯿﻮﮞ ﮐﻮ ... ﺳﺰﺍﺋﯿﮟ ﻣﺖ ﺩﯾﻨﺎ ﺍﻥ ﮐﻮ ﻏﻢ ﮐﯽ ... ﻗﺒﺎﺋﯿﮟ ﻣﺖ ﺩﯾﻨﺎ ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﭼﺎﮨﺘﻮﮞ ...ﮐﯽ ﭘﯿﺎﺳﯽ ﮨﯿﮟ ﯾﮧ ﭘﺮﺍﺋﮯ ﭼﻤﻦ...ﮐﯽ ﺑﺎﺳﯽ ﮨﯿﮟ ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﺑﮯ ﻭﻓﺎ ... ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﯿﮟ ﯾﮧ ﮐﺒﮭﯽ ﺑﮭﯽ ... ﺧﻔﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﯿﮟ   Betiyan Zakhm ... Seh Nahi Patein Betiyan Dard ... Keh Nahi Patein Betiyan Aankh ... Ka Sitara Hain Betiyan Dard ... Mein Sahara Hain Betiyon Ko ... Haras Mat Karna Inko Hargiz ... Udaas Mat Karna Betiyan Noor ... Hain Nigahon Ka Betiyan Baab ... Hain Panahon Ka Betiyan Dil ... Ki Saaf Hoti Hain Goya Khilta ... Gulaab Hoti Hain Betiyan Aks ... Apni Maaon Ka Betiyan Hain ... Samar Duaon Ka Betiyon Ko ... Sazaein Mat Dena Inko Gham Ki

ek hum hain keh parastish pe aqeeda hi nahin aur kuchh log yahan ban ke khuda baithe hain

Image
ایک ہم ہیں کہ پرستش پہ عقیدہ ہی نہیں اور کچھ لوگ یہاں بن کے خدا بیٹھے ہیں ek hum hain keh parastish pe aqeeda hi nahin aur kuchh log yahan ban ke khuda baithe hain

Yunhi anjanay mein us se rafaqat ho gai, Dosti kernay chalay aur us se chahat ho gai,

Image
Yunhi anjanay mein us se rafaqat ho gai, Dosti kernay chalay aur us se chahat ho gai, woh na ho toh main khud se hi ulajhta hoon, kia karo mujhay us ki Aadat ho gai Main apnay wajood mein us ko talaash karta hoon, Mujhe us se is qadar muhabbat ho gai, Mere pass Aao to jee loon do pal Meri toh har saans us ki amaanat ho gai, Main sochta tha us k aagay zindagi kia hai Par usy chahne kay Liye zindagi ki zaroorat ho gai.

Kabhi Atthkeliyaan Karna Hawa Se Kabhi Titli Ki Khawahish Mein Machalna

Image
چراغِ شام جَلتا ہَے کَبھِی آٹھکیلیاں کَرنا ہَوا سے کَبھِی تِتلی کی خواہش میں مچَلنا ہمیں بھی رَاس آتا جارہا ہے تُمھارے غَم کی بانہوں میں سنبھلنا Charaagh e Shaam Jalta Hai Kabhi Atthkeliyaan Karna Hawa Se Kabhi Titli Ki Khawahish Mein Machalna Hamein Bhi Raas Aata Ja Raha Hai Tumhare Gham Ki Bahon Mein Sambhalna

Ta Naqaab Da Makha Lare Kra Bas Za Ba Darta Goram Da Nazar Parwah Onakre Khaibar Dak Da Spelano Dy

Image
Khatir Waai Ta Naqaab Da Makha Lare Kra Bas Za Ba Darta Goram Da Nazar Parwah Onakre Khaibar Dak Da Spelano Dy Hamza Warta Waai Da Nazara Ma Yarega Nazarmate De Hum Za Yam Che HAMZA Darna Logay Shi Spelano Ta Hajat Neshta

Itni Thokren Marny Ka Shukria Ay Zindagi Chalny Ka Na Sahi Sanbhalny Ka Hunar Tou Aa Hi Gaya

Image

passionate shifai,Parveen Shakir,Rahat indori

Image
Door Tak Chhaaye Thay Badal Aur Kahein Saya Na Tha Iss Tarah Barsaat Ka Mausam Kabhi Aaya Na Tha Qateel Shifai Kuch Tou Tere Mausam Hi Mujhe Raas Kam Aaye Aur Kuch Mere Mitthi Mein Baghawat Bhi Buhat Thi Parveen Shakir Main Aakhir Konsa Mausam Tumhare Nam Kar Deta Yahan Har Mausam Ko Guzar Jane Ki Jaldi Hai Rahat Indori We needed far and there was no shadow The weather of barsaaat has never come like this. passionate shifai Some of your weather will be useful to me. And there was a lot of will in my death Parveen Shakir What weather will I do for you? Here every season was going to pass. Rahat indori

Mukhtasar Hoe Pehle Guftgo Ke Sisilay Aahista Aahista Khamoshi Ta'aluq Nigal Gai

Image
Mukhtasar Hoe Pehle Guftgo Ke Sisilay Aahista Aahista Khamoshi Ta'aluq Nigal Gai

Kisi Ka Ishq ,Kisi Ka Khayal Thay Hum Bhi Gaye Dino Me Buhat Ba-Kamaal Thay Hum Bhi

Image
Kisi Ka Ishq ,Kisi Ka Khayal Thay Hum Bhi Gaye Dino Me Buhat Ba-Kamaal Thay Hum Bhi Humari Khoj Me Rehti Thi Titlian Aksar Keh Apne Shehar Ka San o Jamaal Thay Hum Bhi Parveen Shakir

Ishaq samandar tarna panda ay Sukh Li dukh vi jarna panda ay

Image
عشق سمندر ترنا پیندا اے سُکھ لئی دُکھ وی جرنا پیندا اے حق دی خاطر لڑنا پیندا اے جیون لئی مرنا پیندا اے Ishaq samandar tarna panda ay Sukh Li dukh vi jarna panda ay Haq de khatir larna panda ay Jeewan Li marna panda ay Manoo bhi

Soch Da Keerha , Andaro n Andar Pura Banda Tuk Jaandah Aey Duniya Raazi Kadi Naien Hoyi Banda Mukda Muk ,Jaanda Aey

Image
Soch Da Keerha , Andaro n Andar Pura Banda Tuk Jaandah Aey Duniya Raazi Kadi Naien Hoyi Banda Mukda Muk ,Jaanda Aey ہماری سوچیں آور تفَکرات ہمیں آندَر ہی آندر دیمک کی طرح کھَوکھلا کر دیتی ہیں دُنیا کو راضی کرنا بُہت مُشکل ہے ،ہر کوئی آپ سے خُوش نہیں ہو سکتا چاہے بندہ آپنی جِند جان سے کوشش کَرتا ہُوا ہَلکان ہو جائے

Jane Kab Tak Teri Tasweer Nigahon Mein Rahi Ho Gai Raat Tere Aks Ko Takty Takty

Image
جانے کب تک تیری تصویر نگاہوں میں رہی ہوگٸی رات تیرے عکس کو تکتے تکتے میں ںے پھر تیرے تصور کے کسی لمحے میں تیری تصویر پے لب رکھ دیے آہستہ سے پروین شاکر Jane Kab Tak Teri Tasweer Nigahon Mein Rahi Ho Gai Raat Tere Aks Ko Takty Takty Main Ne Phir Tere Tasawwer Ke Kisi Lamhe Mein Teri Tasweer Pe Lab Rakh Diye Aahista Se Parveen Shakir

Shagufta Log Bhi Toote Hue Hote Hain Andar Se Bohat Rote Hain Woh Jinko Lateefe Yaad Rehte Hain

Image
Shagufta Log Bhi Toote Hue Hote Hain Andar Se Bohat Rote Hain Woh Jinko Lateefe Yaad Rehte Hain

Tum Ney Bahir Se Dekh Rakha Hai Main Buhat Mukhtalif Hoon Andar Se

Image
تم نے باہر سے دیکھ رکھاّ ہے میں بہت مختلف ہوں اندر سے Tum Ney Bahir Se Dekh Rakha Hai Main Buhat Mukhtalif Hoon Andar Se

achchi nahin yeh khaamshi shikwa karo gila karo yun bhi na kar sako toh phir ghar mein khuda khuda karo

Image
achchi nahin yeh khaamshi shikwa karo gila karo yun bhi na kar sako toh phir ghar mein khuda khuda karo shohrat bhi uss ke saath hai daulat bhi uss ke haath hai khud se bhi woh mile kabhi uss ke liye dua karo

Ankhon ko intazar ka day kar hunar chala gaya Chaha tha aik shakhs ko jany kidhar chala gaya

Image
Ankhon ko intazar ka day kar hunar chala gaya Chaha tha aik shakhs ko jany kidhar chala gaya Din ki woh mehfilain gayi raton kay ratjagay gaye Koi samait kar meray sham o sahar chala gaya

Kahien Hai Aas Ka Badal,Kahien Yaadon Ki Bundein Hein Machalti Khawahashon Ka Hai ,Yeh Mausam Baarishon Ka Hai

Image
کَہِیں ہے آس کا بادل ، کَہِیں یادَوں کی بُوندیں ہیں مَچَلتی خواہشوں کا ہے ، یِہ مَوسَم بارشَوں کا ہَے اتباف ابرک Kahien Hai Aas Ka Badal,Kahien Yaadon Ki Bundein Hein Machalti Khawahashon Ka Hai ,Yeh Mausam Baarishon Ka Hai Atbaf Abrak

logon ka ehsaan hai mujh par aur tera main shukr-guzaar teer-e-nazar se tum ne maara laash uthaai logon ne

Image
لوگوں کا احسان ہے مجھ پر اور ترا میں شکر گزار تیر نظر سے تم نے مارا لاش اٹھائی لوگوں نے logon ka ehsaan hai mujh par aur tera main shukr-guzaar teer-e-nazar se tum ne maara laash uthaai logon ne BAHADUR SHAH ZAFAR

jahan saare hawa banne ki koshish kar rahe they wahan bhi hum diya banne ki koshish kar rahe they

Image
jahan saare hawa banne ki koshish kar rahe they wahan bhi hum diya banne ki koshish kar rahe they humen zor-e-tasawwur bhi ganwana par gaya hum tasawwur mein ḳhuda banne ki koshish kar rahe they zameen par aa gire jab asman se ḳhuwaab mere zameen ne pochha kya banne ki koshish kar rahe they unhein ankhon ne bedardi se be-ghar kar diya hai ye aansoo qahqaha banne ki koshish kar rahe they humein dushwariyon mein muskurane ki talab thi hum ik tasweer sa banne ki koshish kar rahe they

Da Imarat e Islami Tarana

Image
Da Imarat e Islami Tarana Paka Irada Pak Mo Murad Pak Laro Shaa'ar Da Aljihad Sar Ao Maal Mo Dy Pa Deen Qurban Yao Klak Musalman Tal La Meeyanza Wro Kufar Ilhaad Yao Mo Paighambar Yao Mo Imam Hum Mo Dy Spezaly Deen Islam Yao Aawaaz Yao Qowat Imarat Imarat Vi De Tal Tar Tala Zindabad Speen Mo Dy Beragh Speen Mo Nishan Speena Aqeeda Ao Speen Quran Yao Laro Hadaf Ao Yao Maseer Yao Mo Dy Ameer Kro Pre Sal Feesada Etemaad

phir rah-e-ishq wahi zad-e-safar mange hai waqt phir qalb-e-tapan deeda-e-tar mange hai

Image
phir rah-e-ishq wahi zad-e-safar mange hai waqt phir qalb-e-tapan deeda-e-tar mange hai sajde maqbool nahin bargah-e-naz mein ab astaan husn ka sajde nahin sar mange hai kis ne pahuncha diya us hosh-ruba waadi mein keh jahan wahshat-e-dil zad-e-safar mange hai meri duniya ke taqazon hi pe mauqoof nahin deen bhi ek naya fikr-o-nazar mange hai ishq ko zawiya-e-deed badalna hoga jalwa-e-husn naya zauq-e-nazar mange hai sab ki aankhon se bacha kar jo kabhi laote they waqt har chor se woh laal-o-gohar mange hai deen o duniya ho keh ho ishq o hawas ay "saghar" har koi khoon-e-jigar khoon-e-jigar mange hai Saghar Siddiqui

Mere mukkamal hone mein jitne saans lagte hain Utne de diye khair mein maine ne jaa

Image
Mere mukkamal hone mein jitne saans lagte hain Utne de diye khair mein maine ne jaa

Bakhsha hai jis ne rooh ko zakhmon ka pairahin Mohsin woh shakhs kitna tabeeyat shinas tha

Image
بخشا ہے جس نے روح کو زخموں کا پیراہن محسنؔ  وہ شخص کتنا طبیعت شناس تھا Bakhsha hai jis ne rooh ko zakhmon ka pairahin Mohsin   woh shakhs kitna tabeeyat shinas tha Mohsin Naqvi

lamha-dar-lamha teri raah taka karti hai ek khirki teri aamad ki dua karti hai

Image
lamha-dar-lamha teri raah taka karti hai ek khirki teri aamad ki dua karti hai silwaten cheekhti rehti hain mere bistar ki karwaton mein hi meri raat kata karti hai waqt tham jata hai ab raat guzarti hi nahin jaane deewar-ghadi raat mein kya karti hai chand khirki mein jo aata tha nahin aata ab tergi charon taraf raqs kiya karti hai mere kamre mein udasi hai qayamat ki magar ek tasweer purani si hansa karti hai

Jab Safina Mauj se Takra Gaya Nakhuda Ko Bhi Khuda Yaad Aa Gaya

Image

Iss Liye Tasweer e Janaan Hum Ne Banwaai Nahi

Image
ایک بادشاہ نے تین آدمی طلب کیئے ان میں سے ایک عاشق تھا ، دوسرا نابینا تھا ، تیسرا فقیر تھا ، بادشاہ نے ان تینوں سے  Aik Badsha Ne Teen Admi Talab Kiye In Me Se Aik Ashiq Tha,Dosra Nabeena Tha , Teesra Faqeer Tha ,Badsha Ne Un Teenio Se   کہا کہ میرے دماغ میں ایک مصرعہ آیا ہے تم لوگ اس کو مکمل کردو، مصرعہ یہ ہے Kaha Keh Mere Demaagh Me Aik Misra Aaya Hai , Tum Log Isko Mukamal Kar Do , Misra Ye Hai   (اسلئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں) Iss Liye Tasweer e Janaan Hum Ne Banwaai Nahi   تینوں نے تھوڑا سوچ بچار کیا اور اپنے اپنے حساب سے شعر بنائے جو کچھ یوں تھے ۔ Teeno Ne Thoda Soch Bichar Kia Aur Apne Apne Hisaab Se Shair Banaye Jo Kuch Yun Thay   عاشق Aashiq ایک سے جب دو ہوئے پھر لطف یکتائی نہیں اسلئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں Aik Se Jab Do Hoe Phir Lutf e Yaktayi Nahi Iss Liye Tasweer e Janaan Hum Ne Banwaai Nahi   نابینا Na-Beena ہم میں بینائی نہیں اور اس میں گویائی نہیں اسلئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں Hum Mein Beenaai Nahi Aur Uss Mein Goyayi Nah

Niyaz o naaz ki rodad husn o ishq ka qissa Yeh jo kuch bhi hai sab unki hamari dastaan tak hai

Image
Niyaz o naaz ki rodad husn o ishq ka qissa Yeh jo kuch bhi hai sab unki hamari dastaan tak hai Bedam Shah Warsi

is zindagi mein itni FARAGHAT kise naseeb itna na yaad aa keh tujhe bhool jaaen hum

Image
اس زندگی میں اتنی فراغت کسے نصیب   اتنا نہ یاد آ کہ تجھے بھول جائیں ہم is zindagi mein itni FARAGHAT kise naseeb itna na yaad aa keh tujhe bhool jaaen hum

kisi ko yaad kar ke ek din khalwat mein roya tha nahin maloom kyun jab se NADAMAT barhti jaati hai

Image
کسی کو یاد کر کے ایک دن خلوت میں رویا تھا نہیں معلوم کیوں جب سے ندامت بڑھتی جاتی ہے kisi ko yaad kar ke ek din khalwat mein roya tha nahin maloom kyun jab se NADAMAT barhti jaati hai

Hum Jante Toh Ishq Na Karte Kisi K Saath Le Jate Dil Ko Khaak Mein Is Arzoo Ke Saath

Image
ہم جانتے تو عشق نہ کرتے کسی  کے ساتھ لے جاتے دل کو خاک میں اس آرزو کے ساتھ Hum Jante Toh Ishq Na Karte Kisi K Saath Le Jate Dil Ko Khaak Mein Is Arzoo Ke Saath

Mosum ki ada aj bhi purkaif hai lekin Jo tere saath Guzara is waqt ki hasrat nahi jati

Image
موسم کی ادا آج بھی پُر کیف ھے لیکن جو تیرے ساتھ گزرا اس وقت کی حسرت نہیں جاتی Mosum ki ada aj bhi purkaif hai lekin Jo tere saath Guzara is waqt ki hasrat nahi jati

Uski aankhon ko khuda salamat Rakhe Uski aankhen mere khuwabon ki tabeer hai

Image
Uski aankhon ko khuda salamat Rakhe Uski aankhen mere khuwabon ki tabeer hai