phir rah-e-ishq wahi zad-e-safar mange hai waqt phir qalb-e-tapan deeda-e-tar mange hai



phir rah-e-ishq wahi zad-e-safar mange hai
waqt phir qalb-e-tapan deeda-e-tar mange hai

sajde maqbool nahin bargah-e-naz mein ab
astaan husn ka sajde nahin sar mange hai

kis ne pahuncha diya us hosh-ruba waadi mein
keh jahan wahshat-e-dil zad-e-safar mange hai

meri duniya ke taqazon hi pe mauqoof nahin
deen bhi ek naya fikr-o-nazar mange hai

ishq ko zawiya-e-deed badalna hoga
jalwa-e-husn naya zauq-e-nazar mange hai

sab ki aankhon se bacha kar jo kabhi laote they
waqt har chor se woh laal-o-gohar mange hai

deen o duniya ho keh ho ishq o hawas ay "saghar"
har koi khoon-e-jigar khoon-e-jigar mange hai
Saghar Siddiqui

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo