lamha-dar-lamha teri raah taka karti hai ek khirki teri aamad ki dua karti hai



lamha-dar-lamha teri raah taka karti hai
ek khirki teri aamad ki dua karti hai

silwaten cheekhti rehti hain mere bistar ki
karwaton mein hi meri raat kata karti hai

waqt tham jata hai ab raat guzarti hi nahin
jaane deewar-ghadi raat mein kya karti hai

chand khirki mein jo aata tha nahin aata ab
tergi charon taraf raqs kiya karti hai

mere kamre mein udasi hai qayamat ki magar
ek tasweer purani si hansa karti hai

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo