jahan saare hawa banne ki koshish kar rahe they wahan bhi hum diya banne ki koshish kar rahe they



jahan saare hawa banne ki koshish kar rahe they
wahan bhi hum diya banne ki koshish kar rahe they

humen zor-e-tasawwur bhi ganwana par gaya hum
tasawwur mein ḳhuda banne ki koshish kar rahe they

zameen par aa gire jab asman se ḳhuwaab mere
zameen ne pochha kya banne ki koshish kar rahe they

unhein ankhon ne bedardi se be-ghar kar diya hai
ye aansoo qahqaha banne ki koshish kar rahe they

humein dushwariyon mein muskurane ki talab thi
hum ik tasweer sa banne ki koshish kar rahe they

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai