kuch ishq tha kuch majbori thi so main ne jeewan war diya main kaisa zinda admi tha ik shakhs ne mujh ko mar diya



kuch ishq tha kuch majbori thi so main ne jeewan war diya
main kaisa zinda admi tha ik shakhs ne mujh ko mar diya

ye saja sajaya ghar saqi meri zat nahin mera hal nahin
ay kash kabhi tum jan sako jo us shakhs ne azar diya

main khuli hui ik sachai mujhe jan'ne wale jante hain
main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon se pyar kiya

woh ishq bahut mushkil tha magar asan na tha yun jeena bhi
us ishq ne zinda rahne ka mujhe zarf diya pindar diya

ik sabz shakh gulab ki tha ik duniya apne pyar ki tha
woh ek bahar jo ai nahin us k liye sab kuch har diya

main rota hoon aur asman se tare tutate dekhta hon
un logon par jin logon ne mere logon ko azar diya

woh yar hon ya mahboob mere ya kabhi kabhi milne wale
ik lazzat sab k milne mein woh zakham diya ya pyar diya

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo