Lazat e Gham Barha Dijiye Aap Phir Muskura Dijiye



لذت غم بڑھا دیجئے
آپ پھر مسکرا دیجئے
Lazat e Gham Barha Dijiye
Aap Phir Muskura Dijiye

چاند کب تک گہن میں رہے
اب تو زلفیں ہٹا دیجئے
Chand Kab Tak Guhn Mein Rahe
Ab Tou Zulfein Hata Dijiye

میرا دامن بہت صاف ہے
کوئی تہمت لگا دیجئے
Mera Daman Buhat Saaf Hai
Koi Tuhmat Laga Dijiye

قیمت دل بتا دیجئے
خاک لے کر اڑا دیجئے
Qeemat Dil Bata Dijiye
Khaak Le Kar Uda Dijiye

آپ اندھیرے میں کب تک رہیں
پھر کوئی گھر جلا دیجئے
Aap Andhere Mein Kab Tak Rahein
Phir Koi Ghar Jala Dijiye

اک سمندر نے آواز دی
مجھ کو پانی پلا دیجئے
Ik Samandar Ne Aawaaz Di
Mujh Ko Paani Pila Dijiye

راز_الہ_آبادی
Raz_Elah_Abadi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo