Umar Bhar Ki Chahat K Bharam-E-Andaz Badl Jate Hain Ek Dooje Par Marny Waly Dawadaron K Naaz Badl Jaty Hain



Umar Bhar Ki Chahat K Bharam-E-Andaz Badl Jate Hain
Ek Dooje Par Marny Waly Dawadaron K Naaz Badl Jaty Hain

Zindagi Kabhi Bhi Aik Dagar Par Nahein Chalti
Har Morr Par Jeeny K Andaz Badl Jaty Hain

Kabhi Jein Gy Na Bin Tairy Ye Wada Raha
Agaly Pal Yahi Alfaz Badl Jaty Hain

Kisi Tor Nahein Rukti Darya Ki Rawani Kabhi
Bhaly Barishon K Barsny K Jawaz Badl Jaty Hain

Har Rutt Mein Chhaon Daina Kab Hai Shjar K Bas Mein ?
Khizan Aaty Hi Pairron K Aezaz Badl Jaty Hain

Dost To Dost Apni PARCHHAI Tak Ka Nahein Bharosa
Dhoop Chhaon K Mazaj Taly Akas Dabeez Badl Jaty Hain..........!
 
Poetess:Shazia Romana
Book: Girftar-E-Wafa

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo