Ajab ghari thi Kitaab keechar mein gir padi thi Chamakty lafzon ki maili aankhon mein uljhy Aanso bula rahy they



عجب گھڑی تھی
کتاب کیچڑ میں گر پڑی تھی
چمکتے لفظوں کی میلی آنکھوں میں اُلجھے آنسو بلارہے تھے
مگر مجھے ہوش ہی کہاں تھا
نظر میں ایک اور ہی جہاں تھا
نئے نئے منظروں کی خواہش میں اپنے منظر سے کٹ گیا ہوں
نئے نئے دائروں کی گردش میں اپنے محور سے ہٹ گیا ہوں
صلہ، جزا، خوف، بے یقینی
اُمید، اِمکان، نا امیدی
ہزار خانوں میں بٹ گیا ہوں
اب ِاس سے پہلے کہ رات اپنی کمند ڈالے یہ سوچتا ہوں کہ لَوٹ جاؤں
عجب نہیں وہ کتاب اب بھی وہیں پڑی ہو
عجب نہیں آج بھی مری راہ دیکھتی ھو
چمکتے لفظوں کی میلی آنکھوں میں اُلجھے آنسو
ہوا و حرص و ہوس کی سب گرد صاف کردیں
عجب نہیں میرے لفظ مجھ کو معاف کردیں
عجب گھڑی تھی
کتاب کیچڑ میں گر پڑی تھی..!!
 
شاعر: افتخارعارف

Ajab ghari thi
Kitaab keechar mein gir padi thi
Chamakty lafzon ki maili aankhon mein uljhy
Aanso bula rahy they
Magar mujhy hosh hi kahan tha
Nazar mein aik aur hi jahaan tha
Naye naye manzron ki khwahish mein apny manzar sy katt gaya hon
Naye naye dairon ki gardish mein apny mehwar sy batt gaya hon
Silla, Jazaa, Khauf,Be-yaqeeni
Umeed, Imkaan, Na-umeedi
Hazaar khaanon mein batt gaya hon
Ab iss sy pehly ky raat apni kamand daalay
Yeh soochta hon ky laut jaaon
Ajab nahi woh kitaab ab bhi wahin padi ho
Ajab nahi aaj bhi woh meri raah dekhti ho
Chamakty lafzon ki maili aankhon mein uljhy sanso
Hawa o hirss o hawiss ki sab gard saaf Kar den
Ajab nahi meray lafz mujh ko maaf kar den
Ajab ghari thi
Kitaab keechar mein gir padi thi...!!


Iftikhar Hussain Arif

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo