Kunn Fayakoon Teray raste se hatt gaye thay Tukriyoon mein butt gaye thay Hum baray zaalim thay Maula, bandagi se katt gaye thay



کُن فَیَکُون

تیرے رستے سے ہٹ گئے تھے
ٹکڑیوں میں بٹ گئے تھے
ہم بڑے ظالم تھے مولا،بندگی سے کٹ گئے تھے
تھا ہمیں طاقت کا زعم،حکمرانی کا زور تھا
تھی ترقی ہر طرف دنیا میں یہ ہی شور تھا
قد کو اونچا کرلیا تھا ہو گئے تھے خود جدا
ہم حدوں کو پار کر کے بن گئے تھےخود خدا
ہم بہت نادان تھے،ہم بڑے مغرور تھے
تھے تو تیرے نام لیوا، ہم مگر مفخور تھے
نعمتوں کو تیری ہم نے اس طرح ٹھکرا دیا
غیر کو اپنا بنایا تجھ کو ہی جھٹلادیا
اب خدا کا امتحاں ہے اور دور ابتلا
دربدر لاچار ہم ہیں خوف میں ہیں مبتلا
مسجدیں خالی ہیں ساری، رونقیں نا پید ہیں
موت ہے آزاد ہر سو، زندگیاں قید ہیں
خلوتوں میں ہے عبادت، دل مگر ہے بے قرار
ذکر تیرا کر رہے ہیں رو رہے ہیں زار زار
آزمائش صبر کی ہے، شُکر کا ہے امتحاں
تیری تنبیہ ہے یہ مالک گرچہ تُو ہے مہرباں
زندگی ہے قید میں، گوشہ تنہائی ہے
اب ہمیں اک بار پھر سے یاد تیری آئی ہے
اے خدائے لم یزل تیری حشمت کی قسم
رحمتوں کی برکتوں کی پھر طنابیں گاڑھ دے
دل میں پھر سے تُو اُتر، نیتوں کو بھانپ لے
ہے ندامت،شرمساری،تُو گناہوں کو ڈھانپ لے
اے رب ذوالجلال، تیری عظمت کا واسطہ
منتظر ہیں تیری”کُن”کے، ہو جا ہم پہ مہرباں
تیری “کُن” کے بعد ہوگا”فَیَکُون”کُو بہ کُو
نعمتوں کے سب ہی دریا پھر بہیں گے جُو بہ جُو
اپنے کعبے کو جبینوں سے بسا لے پھر سے تُو
نوع انساں کو وباؤں سے بچا لے پھر سے تُو

سلیم احمد

Kunn Fayakoon

Teray raste se hatt gaye thay
Tukriyoon mein butt gaye thay
Hum baray zaalim thay Maula, bandagi se katt gaye thay
Tha hamein taqat ka zaum, hukmarani ka zor tha
Thii tarraqi har taraf duniya mein yeh hi shor tha
Qadd ko ooncha kar liya tha ho gaye thay hum juda
Hum hadon ko paar kar ke ban gaye thay khud khuda
Hum bohat naadaan thay, hum baray maghroor thay
Thay tou teray naam laiwaa, hum magar mafkhoor thay
Naimatoon ko teri hum ne iss tarah thukra diya
Ghair ko apna banaya tujh ko hi jhuttla diya
Ab khuda ka imtehan hai aur daur e ibtala
Dar badar laachaar hum hain khauf mein hain mubtala
Masjidein khaali hain saari, raunaqain naa paed hain
Maut hai azaad har soo, zidagiyaan qaid hain
Khilwaton mein hai ibaadat, dil magar hai beqaraar
Zikar Tera kar rahay hain ro rahay hain zaar zaar
Aazmaaish sabar ki hai, shukar ka hai imtehan
Teri tanbeeh hai ye maalik garcheh tuu hai meherbaan
Zindagi hai qaid mein, gosha e tanhaai hai
Abb hamein ek baar phir se yaad teri aayei hai
Aey khuda’aye lam yazal teri hashmat ki qasam
Rehmatoon ki barkatoon ki phir tannabain gaarh dey
Dil mein phir se tuu uttar, niyyatoon ko bhaanp lay
Hai nidaamat, sharmsaari, tuu gunaahoon ko dhaanp lay
Aey Rabb e zuljalaal, teri azmat ka wasta
Muntazar hain teri “Kunn” ke, ho jaa hum pe meherbaan
Teri “Kunn” ke ba’ad ho ga “ Fayakoon” koo ba koo
Naimatoon ke sab hi darya phir bahain gey joo ba joo
Apney ka’abey ko jabeenoon se basaa lay phir se tuu
Noo e insaan ko wabaao’on se bachaa lay phir se tuu

Saleem Ahmad


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo