Lardak-pan ki aik nazm Jagtey khuwaab Khushk Patton ki sadaaon mein hai aahat Kis ki Ye subak, narm havaaon mein hai khushbu Kis ki



خشک پتوں کی صداؤں میں ہے آہٹ کس کی
یہ سبک نرم ہواؤں میں ہے خوشبو کس کی
کون ہولے سے میرے کان میں سرگوشی کرے
چلتے چلتے یوں پلٹ کر یہ نظر ڈھونڈے کسے
کس کی دستک کا گماں دے گئی بے سُدھ سی ہوا
کس کا سایہ ہے میرے ساتھ سفر کرتا ہوا
کس کے آنے کی خبر آ کے بہاروں نے ہے دی
کیوں ہے آنچل میں ستاروں کی کہکشاں اتری
غور سے دیکھوں تو نور آنکھوں میں بھر جاتا ہے
چاند میں کیسا یہ چہرہ سا نظر آتا ہے
جس کو دیکھا نہیں محسوس کیسے کرتی ہوں
کون سے خال و خد ہیں وہ میں جن پہ مرتی ہوں
ایسے بھی رات کی تنہائی میں پل آتے ہیں
نیند اُڑ جاتی ہے پر خواب نظر آتے ہیں
کیسی یہ عُمر ہے کیسا یہ دور میرے خُدا
آئینے میں ہے دِکھے کوئی اور میرے خُدا
میرے نظروں میں مگر عکس اجنبی ہے وہ
میں نہیں اور ہے پر مجھ میں بسے بھی ہے وہ

زویا راؤ وفاؔ

Lardak-pan ki aik nazm
 
Jagtey khuwaab

Khushk Patton ki sadaaon mein hai aahat Kis ki
Ye subak, narm havaaon mein hai khushbu Kis ki

Kaun haule se mere kaan mein sargoshi kare
Chalte chalte yoon palat kar ye nazar dhoonde kise

Kis ki dastak ka gumaan de gayi be-sudh si Hawa
Kis ka saaya hai mere saath safar karta hua

Kis ke aane ki khabar aa ke bahaaron ne hai di
Kyun hai aanchal mein sitaaron ki kehkshaan utri

Ghaur se dekhoon to noor aankhon mein bhar jata hai
Chaand mein kaisa ye chehra sa nazar aata hai

Jis ko dekha nahi mehsoos kaise karti hoon
Kaun se khaal-khad hain Wo mein Jin pe marti hoon

Aise bhi raat ki tanhaayi mein pal aate hain
Neend urd jaati hai par khwab nazar aate hain

Kaisi ye umr hai Kaisa ye daur mere Khuda
Aaine mein hai dikhe koi aur mere Khuda

Meri nazron mein magar aks ajnani hai Wo
Mein nahi, aur hai par mujh mein basey bhi hai Wo


Zoya Rao Wafa

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo