Buhat Arsa Gunahngaron Mein Paighambar Nahi Rehte Keh Sang o Khasht Ki Basti Mein Sheesha-Gar Nahi Rehte



بھت عرصہ گنہگاروں میں پیغمبر نہیں رہتے
کہ سنگ و خشت کی بستی میں شیشہ گر نہیں رہتے
Buhat Arsa Gunahngaron Mein Paighambar Nahi Rehte
Keh Sang o Khasht Ki Basti Mein Sheesha-Gar Nahi Rehte

ادھوری ہر کہانی ہے یہاں ذوقِ تماشہ کی
کبھی نظریں نہیں رہتیں، کبھی منظر نہیں رہتے
Adhoori Har Kahani Hai Yahan Zaoq e Tamasha Ki
Kabhi Nazren Nahi Rehti Kabhi Manzar Nahi Rehte

بہت مہنگی پڑے گی پاسبانی تم کو غیرت کی
جو دستاریں بچا لیتے ہیں ان کے سر نہیں رہتے
Buhat Mehingi Padegi Pasbani Tum Ko Ghairat Ki
Jo Dastarein Bacha Laite Hain Unke Sar Nahi Rehte

مجھے نادم کیا کل رات دروازے نے یہ کہ کر
شریف انسان گھر سے دیر تک باہر نہیں رہتے
Mujhe Nadim Kia Kal Raat Darwaze Ne Ye Keh Kar
Shareef Insan Ghar Se Der Tak Bahir Nahi Rehte

خود آگاہی کی منزل عمر بھی ان کو نہیں ملتی
جو کوچہ گرد اپنی ذات کے اندر نہیں رہتے
Khud Aagahi Ki Manzil Umar Bhi Unnko Nahi Milti
Jo Koocha Gard Apni Zaat Ke Andar Nahi Rehte

پٹخ دیتا ہے ساحل پر سمندر مردہ جسموں کو
زیادہ دیر تک اندر کے کھوٹ اندر نہیں رہتے
Patakh Deta Hai Sahil Par Samandar Murda Jismon Ko
Ziyada Der Tak Andar Ke Khot Andar Nahi Rehte

بجا ہے زعم سورج کو بھی نازؔ اپنی تمازت پر
ھمارے شہر میں بھی موم کے پیکر نہیں رہتے
 Baja Hai Za'am Soraj Ko Bhi NAZ Apni Tamazat Par
Humare Shehr Mein Bhi Mom Ke Paikar Nahi Rehte

نازؔ خیالوی
Naaz Khayalvi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo