Maa Ke Kandhey Pe Sar Main Rakhta Hoon Aaj Bhi Jab Jahan Atakta Hoon



ماں کے کاندھے پہ سر میں رکھتا ہوں
آج بھی جب جہاں اٹکتا ہوں
Maa Ke Kandhey Pe Sar Main Rakhta Hoon
Aaj Bhi Jab Jahan Atakta Hoon

اپنی صورت حسین لگتی ہے
ماں کو میں آئینہ سمجھتا ہوں
Apni Soorat Haseen Lagti Hai
Maa Ko Main Aaina Samajhta Hoon

ماں کے ہونے سے سب بہاریں ہیں
میں خزاؤں میں بھی مہکتا ہوں
Maa Ke Hone Se Sab Baharein Hain
Main Khizaoun Mein Bhi Mehikta Hoon

آئے جب زندگی میں غم کوئی
ماں کی آنکھوں سے میں برستا ہوں
Aaye Jab Zindagi Mein Gham Koi
Maa Ki Aankhon Se Main Barasta Hoon

ماں کے سکھلائے سے جو ہٹ کے چلوں
عمر بھر راستہ بھٹکتا ہوں
Maa Ke Sekhlaaye Se Jo Hat Ke Chalon
Umar Bhar Rasta Bhatakta Hoon

سرخرو ہوں تو ماں دعا ہے تری
ایک دنیا کو میں کھٹکتا ہوں
Surkhuro Hoon Tou Maa Dua Hai Teri
Aik Dunya Ko Main Khatakta Hoon

یہ بھی تعلیم ماں کی ہے ابرک
جو نہ لکھنے میں, میں بہکتا ہوں
Ye Bhi Ta'aleem Maa Ki Hai ABRAK
Jo Na Lekhne Mein , Main Behekta Hoon

 اتباف ابرک
Atbaf Abrak


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo