Tujhe Pala Tujhe Posa Tujhe Paida Kia Main Ne Mujhe Phir Maa Bulane Mein Tujhe Kion Sharm Aati Hai





تجھے پالا, تجھے پوسا, تجھے پیدا کیا میں نے
مجھے پھر ماں بلانے میں تجھے کیوں شرم آتی ہے
Tujhe Pala Tujhe Posa Tujhe Paida Kia Main Ne
Mujhe Phir Maa Bulane Mein Tujhe Kion Sharm Aati Hai

وہ جتنا فرض تھا میرا, وہ سب پورا کیا میں نے
مرے حق اب دلانے میں تجھے کیوں شرم آتی ہے
Woh Jitna Farz Tha Mera Woh Sab Pora Kia Main Ne

Mere Haq Ab Delane Mein Tujhe Kion Sharm Aati Hai

کبھی ہوگا غلط بھی کچھ جو تم کو کہہ دیا ہوگا
اسے بس بھول جانے میں تجھے کیوں شرم آتی ہے
Kabhi Hoga Ghalat Bhi Kuch Jo Tum Ko Keh Diya Hoga
Usay Bas Bhool Jane Mein Tujhe Kion Sharm Aati Hai

بہت رشتے ہیں تیرے اب مگر ماں، ماں ہی ہوتی ہے
تعارف یہ کرانے میں تجھے کیوں شرم آتی ہے
Buhat Reshte Hain Tere Ab Magar MAA , Maa Hoti Hai
Ta'aruf Ye Karane Mein Tujhe Kion Sharm Aati Hai

بہت جاہل ہے تیری ماں تجھے قابل بنایا پر
یہ سچ سب کو سنانے میں تجھے کیوں شرم آتی ہے
Buhat Jahil Hai Teri Maa Tujhe Qabil Banaya Par
Ye Sach Sab Ko Sunane Mein Tujhe Kion Sharm Aati Hai

بہت ویران ہے یہ دل, بہت بے نور ہیں آنکھیں
ذرا صورت دکھانے میں تجھے کیوں شرم آتی ہے
Buhat Weeraan Hai Ye Dil Buhat Be-Noor Hain Aankhein

Zara Soorat Dekhane Mein Tujhe Kion Sharm Aati Hai

ترے قدموں تلے دنیا, مرے قدموں تلے جنت
تو گھر جنت یہ لانے میں تجھے کیوں شرم آتی ہے
Tere Qadmon Talay Dunya , Mere Qadmon Talay Jannat
Tou Ghar Jannat Ye Lane Mein Tujhe Kion Sharm Aati Hai

اتباف ابرک
Atbaf Abrak




No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo