Main Apni Dosti Ko Shehr Mein Ruswa Nahi Karti Muhabbat Main Bhi Karti Hoon Magar Charcha Nahi Karti



میں اپنى دوستى کو شہر میں رسواه نہیں کرتى
محبت میں بھی کرتى ہوں مگر چرچا نہیں کرتى
Main Apni Dosti Ko Shehr Mein Ruswa Nahi Karti
Muhabbat Main Bhi Karti Hoon Magar Charcha Nahi Karti

جو مجھ سے ملنے آجاۓ میں اس کى دل سے خادم ہوں
جو اُٹھ کے جانا چاھے میں اسے روکا نہیں کرتى
Jo Mujh Se Milne Aa Jaye Main Uss Ki Dil Se Khadim Hoon
Jo Uth Ke Jana Chahe Main Ussay Roka Nahi Karti

جسے میں چھوڑ دیتى ہوں اسے پھر بھول جاتى ہوں
پھر اس ہستى کى جانب میں کبھى دیکھا نہیں کرتى
Jese Main Chorr Deti Hoon Ussay Phir Bhool Jati Hoon
Phir Uss Hasti Ki Janib Main Kabhi Dekha Nahi Karti

تیرا اصرار سر آنکھوں پر کے تم کو بھول جاؤں میں
میں کوشش کر کے دیکھوں گى مگر وعده نہیں کرتى
Tera Israr Sar Aankhon Par Keh Tum Ko Bhool Jaoun Main
Main Koshish Kar Ke Dekhongi Magar Wada Nahi Karti

پروین شاکر
Parveen Shakir


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo