Mere Khuloos Ki Gehrai Se Nhi Milte Ye Jhote Log Hain Sachai Se Nahi Milte



مرے خلوص کی گہرائی سے نہیں ملتے
یہ جھوٹے لوگ ہیں سچائی سے نہیں ملتے
 Mere Khuloos Ki Gehrai Se Nhi Milte
Ye Jhote Log Hain Sachai Se Nahi Milte

وہ سب سے ملتے ہوئے ہم سے ملنے آتا ھے
ہم اس طرح کسی ہرجائی سے نہیں ملتے
Woh Sab Se Milte Hoe Hum Se Milne Aata Hai
Hum Iss Tarah Kisi Harjaai Se Nahi Milte
 
پُرانے زخم ہیں کافی، شمار کرنے کو
سو، اب کِسی بھی شناسائی سے نہیں ملتے
Purane Zakham Hain Kafi Shumar Karne Ko
So Ab Kisi Bhi Shanasaai Se Nahi Milte
 
ہیں ساتھ ساتھ مگر فرق ہے مزاجوں کا
مرے قدم مری پرچھائی سے نہیں ملتے
Hain Saath Saath Magar Farq Hai Mizajon Ka
Mere Qadam Meri Parchaai Se Nahi Milte
 
محبتوں کا سبق دے رہے ہیں دُنیا کو
جو عید اپنے سگے بھائی سے نہیں ملتے
Muhabbaton Ka Sabaq De Rahe Hain Dunya Ko
Jo EID Apne Sagay Bhai Se Nahi Milte
 
راحتؔ اندوری
Rahat Indori


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo