Samne Jab Koim Bhar-Pore Jawani Aaye Phir Tabiyat Mein Meri Kion Na Rawani Aaye



سامنے جب کوئی بھرپور جوانی آئے
پھر طبیعت میں مری کیوں نہ روانی آئے
Samne Jab Koim Bhar-Pore Jawani Aaye
Phir Tabiyat Mein Meri Kion Na Rawani Aaye
 
کوئی پیاسا بھی کبھی اس کی طرف رخ نہ کرے
کسی دریا کو اگر پیاس بجھانی آئے
Koi Piyasa Bhi Kabhi Uss Ki TarafRukh Na Kare
Kisi Darya Ko Agar Piyas Bujhani Aaye
 
میں نے حسرت سے نظر بھر کے اسے دیکھ لیا
جب سمجھ میں نہ محبت کے معانی آئے
 Main Ne Hasrat Se Nazar Bhar Ke Usay Dekh Lia
Jab Samajh Mein Na Muhabbat Ke Ma'ani Aaye

اس کی خوشبو سے کبھی میرا بھی آنگن مہکے
میرے گھر میں بھی کبھی رات کی رانی آئے
Usski Khushbo Se Kabhi Mera Bhi Aangan Mehkey
Mere Ghar Mein Bhi Kabhi Raat Ki RAANI Aaye

زندگی بھر مجھے اس بات کی حسرت ہی رہی
دن گزاروں تو کوئی رات سہانی آئے
Zindagi Bhar Mujhe Iss Baat Ki Hasrat Hi Rahi
Din Guzaron Tou Koi Raat Suhani Aaye

زہر بھی ہو تو وہ تریاق سمجھ کر پی لے
کسی پیاسے کے اگر سامنے پانی آئے
Zehar Bhi Ho Tou Woh Taryaaq Samajh Kar Pee Ley
Kisi Piyasey Ke Agar Samney Paani Aaye

عین ممکن ہے کوئی ٹوٹ کے چاہے ساقیؔ
کبھی ایک بار پلٹ کر تو جوانی آئے
Ain-Mumkin Hai Koi Toot Ke Chahe SAQI
Kabhi Aik Baar Palat Kar Tou Jawani Aaye

ساقی امروہوی
Saqi Amrohvi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo