Rotha Tou Shehar Khuwaab Ko Gharat Bhi Kar Gaya Phir Muskura Ke Taza Shararat Bhi Kar Gaya



روٹھا تو شہر خواب کو غارت بھی کر گیا
پھر مسکرا کے تازہ شرارت بھی کر گیا
Rotha Tou Shehar Khuwaab Ko Gharat Bhi Kar Gaya
Phir Muskura Ke Taza Shararat Bhi Kar Gaya

شاید اسے عزیز تھیں آنکھیں میری بہت
وہ میرے نام اپنی بصارت بھی کر گیا
Shayed Usay Azeez Thein Aankhein Meri Buhat
Woh Mere Nam Apni Basarat Bhi Kar Gaya

منھ زور آندھیوں کی ہتھیلی پہ اک چراغ
پیدا میرے لہو میں حرارت بھی کر گیا
Munh Zoor Aandhiyun Ki Hathaili Pe Ik Charaagh
Paida Mere Lahoo Mein Hararat Bhi Kar Gaya

بوسیدہ بادبان کا ٹکڑا ہوا کے ساتھ
طوفاں میں کشتیوں کی سفارش بھی کر گیا
Boseedah Badban Ka Tukda Hawa Ke Saath
Toofan Mein Kashtiyun Ki Safarish Bhi Kar Gaya

دل کا نگر اجاڑنے والا ہنر شناس
تعمیر حوصلوں کی عمارت بھی کر گیا
Dil Ka Nagar Ujadne Wala Hunar Shanaas
Ta'ameer Hoslon Ki Imarat Bhi Kar Gaya

سب اہل شہر جس پہ اٹھاتے تھی انگلیاں
وہ شہر بھر کو وجہ زیارت بھی کر گیا
Sab Ahl e Shehar Jis Pe Uthatay Thi Ungliyan
Woh Shehar Bhar Ko Waja e Ziarat Bhi Kar Gaya

محسن یہ دل کہ اس بچھڑتا نہ تھا کبھی
آج اس کو بھولنے کی جسارت بھی کر گیا
MOHSIN Ye Dil Keh Is Bichadta Na Tha Kabhi
Aaj Usko Bhoolny Ki Jisarat Bhi Kar Gaya

محسن نقوی
Mohsin Naqvi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo