Bakht Ke Takht Se Yaklakht Utara Hoa Shakhs Tu Ne Dekha Hai Kabhi Jeet Ke Hara Hoa Shakhs



بخت کے تخت سے یکلخت اتارا ہوا شخص
تُو نے دیکھا ہے کبھی جیت کے ہارا ہوا شخص
Bakht Ke Takht Se Yaklakht Utara Hoa Shakhs
Tu Ne Dekha Hai Kabhi Jeet Ke Hara Hoa Shakhs

ہم تو مقتل میں بھی آتے ہیں بصد شوق و نیاز
جیسے آتا ہے محبت میں پکارا ہوا شخص
Hum Tou Maqtal Mein Bhi Aatay Hein Basad Shouq o Niaz
Jaise Aata Hai Muhabbat Mein Pukara Hoa Shakhs

کب کسی قرب کی جنت کا تمنائی ہے
یہ ترے ہجر کے دوزخ سے گزارا ہوا شخص
Kab Kisi Qurb Ki Janat Ka Tamannaai Hai
Ye Tere Hijar Ke Dozakh Se Guzara Hoa Shakhs

بعد مدت کے وہی خواب ہے پھر آنکھوں میں
لوٹ آیا ہے کہیں دور سِدھارا ہوا شخص
Baad Muddat Ke Wahi Khuwaab Hai Phir Aankhon Mein
Laot Aaya Hai Kahein Door Sadhara Hoa Shakhs

اب اندھیرے ہیں کے لیتے ہیں بلائیں اُس کی
روشنی بانٹ گیا دیپ پہ وارا ہوا شخص
Ab Andhere Hein Ke Laitay Hein Balaaein Uski
Roshni Baant Gaya Deep Peh Wara Hoa Shakhs

موت کے جبر میں ڈھونڈی ہیں پناہیں اس نے
زندگی یہ ہے ترے لطف کا مارا ہوا شخص
Mout Ke Jabar Mein Dhoondi Hein Panahein Us Ne
Zindagi Ye Hai Tere Lutf Ka Mara Hoa Shakhs

ایسے حالات کی چھلنی سے گزارا خود کو
آ گیا ہاتھ مرے مجھ سے نتھارا ہوا شخص
Aise Halaat Ki Chalni Se Guzara Khud Ko
Aa Gaya Haath Mere Mujh Se Nathara Hoa Shakhs

اسد خاں
Asad Khan


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo