Dil Ke Mua'amlaat Se Anjan Tou Na Tha Is Ghar Ka Fard Tha Koi Mehman Tou Na Tha



‏فاروق روکھڑی کی ایک خوبصورت غزل
Farooq Rokhri Ki Aik Khobsoorat Ghazal

💜🧡💜🧡💜🧡💜🧡💜🧡💜🧡💜🧡💜🧡💜🧡
‏دل  کے  معاملات  سے  انجان  تو  نہ  تھا
‏اس گھر کا فرد تھا کوئی مہمان تو نہ تھا
Dil Ke Mua'amlaat Se Anjan Tou Na Tha
Is Ghar Ka Fard Tha Koi Mehman Tou Na Tha

 💜💜💜 💜💜💜💜💜💜💜🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡
‏تھیں جن کے دَم سے رونقیں شہروں میں جا بسے
‏ورنہ    ہمارا   گاؤں   یوں   ویران    تو   نہ    تھا
Thein Jin Ke Dum Se Ronaqein Shehron Mein Ja Basay
Warna Humara Gavoun Yun Weeran Tou Na Tha

 💜💜💜 💜💜💜💜💜💜💜🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡
‏بانہوں میں جب لیا اسے نادان تھا ضرور
‏جب چھوڑ کر گیا مجھے نادان تو نہ تھا
Banhon Mein Jab Lia Usay Nadan Tha Zaroor
Jab Chodh Kar Gaya Mujhe Nadan Tou Na Tha

 💜💜💜 💜💜💜💜💜💜💜🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡
‏کٹ تو گیا ہے کیسے کٹا یہ نہ پوچِھیے
‏یارو!  سفر  حیات  کا  آسان  تو نہ تھا
Kat Tou Gaya Hai Kaise Kata Ye Na Poochiye
Yaaro! Safar Hayat Ka Aasaan Tou Na Tha

 💜💜💜 💜💜💜💜💜💜🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡
‏نیلام گھر بنایا نہیں اپنی ذات کو
‏کمزور اس قدر میرا ایمان تو نہ تھا
Neelam Ghar Banaya Nahi Apni Zaat Ko
Kamzor Is Qadar Mera Emaan Tou Na Tha

 💜💜💜 💜💜💜💜💜💜🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡
‏رسماً  ہی  آ    کے   پوچھتا   فاروقؔ   حالِ  دل
‏کچھ اس میں اس کی ذات کا نقصان تو نہ تھا
Rasman Hi Aa Ke Poochta FAROOQ Haal e Dil
Kuch Is Mein Uski Zaat Ka Nuqsaan Tou Na Tha

 💜💜💜 💜💜💜💜💜💜💜🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡🧡
فاروق روکھڑی
Farooq Rokhri

💜💜💜🧡🧡🧡


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo