Raas Aati Nahi Khushi Ziyadah Rog Daiti Hai Zindagi Ziyadah



راس آتی نہیں خوشی زیادہ
روگ دیتی ہے زندگی زیادہ

Raas Aati Nahi Khushi Ziyadah

Rog Daiti Hai Zindagi  Ziyadah 

صبر کا پھل ضرور ملتا ہے
دیر ہو جاتی ہے کبھی زیادہ

Sabar Ka Phal Zaroor Milta Hai

Der Ho Jati Hai Kabhi Ziyadah 

پاس آتا ہے جسقدر میرے
اور لگتا ہے اجنبی زیادہ

Paas Aata Hai Jisqadar Mere

Aur Lagta Hai Ajnabi Ziyadah 

نُور اُترے کہ میری دھرتی پر
روشنی کم ہے تیرگی زیادہ

Noor Utray Ke Meri Dharti Par

Roshni Kam Hai Tergi Ziyadah

دیکھوں جتنا بھی میں اُسے ارشد
بڑھتی جاتی ہے تشنگی زیادہ

Daikhon Jitna Bhi Main Usay ARSHAD

Barhti Jati Hai Tishnagi Ziyadah

مرزا ارشد علی بیگ

Mirza Arshad Ali Baig
٢١ مئی، ٢٠٢٣


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo