Har Tamanna Ka Lahoo Karte Chalein Ihteram e Rang o Boo Karte Chalein



Har Tamanna Ka Lahoo Karte Chalein
Ihteram e Rang o Boo Karte Chalein


Be-Khudi Ki Nazar Kar Dein Zindagi
Bea'at e Jaam o Saboo Karte Chalein


Jis Zuban Mein Be-Kasi Ki Baat Ho
Us Zuban Mein Guftgo Karte Chalein


Yeh Ghataoun Se Barasti Mastiyan
Gar Ijazat Ho Wuzo Karte Chalein


Inqilab Deedah o Dil Ke Liye
Aainon Ko Roo-Ba-Roo Karte Chalein


Kho Ke Kuch Pana Yahan Dushwar Hai
Ikhtiyatan Justjo Karte Chalein


Fikar e SAGHAR Ki Adaoun Mein Bayan
Dastan e Aarzoo Karte Chalein

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 181-182


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo