Mere Chaman Mein Baharon Ke Phool Mehkeingy Mujhe Yaqeen Hai Shararon Ke Phool Mehkeingy



Mere Chaman Mein Baharon Ke Phool Mehkeingy
Mujhe Yaqeen Hai Shararon Ke Phool Mehkeingy


Kabhi Tou Deedah e Nargas Mein Roshni Hogi
Kabhi Tou Ujday Diyaron Ke Phool Mehkeingy


Tumhari Zulf e Pareshan Ki Aabroo Ke Liye
Kai Ada Se Chinaron Ke Phool Mehkeingy


Chamak Hi Jayegi Shabnam Lahoo Ke Boondon Se
Rawish Rawish Peh Sitaron Ke Phool Mehkeingy


Hazaron Mouj e Tamanna Sadaf Uchaly Gi
Talatamon Se Kinaron Ke Phool Mehkeingy


Ye Keh Rahi Hai Fizaein Bahar Ki SAGHAR
Jigar Feroz Isharon Ke Phool Mehkeingy

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 183


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo