Jab bhi is raah se wo rashk e butan guzre ga Dil mein thehre ga yaqeen aur guman guzre ga



جب بھی اس راہ سے وہ رشک بتاں گزرے گا
دل میں ٹھہرے گا یقیں اور گماں گزرے گا

ہائے وہ وقت کہ جب تم نہ میسر ہوگے
ہائے وہ وقت گزارے سے کہاں گزرے گا

اس طرف منہ نہیں کرتا کوئی ڈرتا لیکن
ہم جو گزرے تو ادھر سے بھی جہاں گزرے گا

بات یہ اس کے گماں میں بھی کہاں ہوگی بھلا
ایک سر یاں سے سر نوک سناں گزرے گا

ایک انبوہ تغیر پس دیوار انا
صورت حال بتاتی ہے میاں، گزرے گا

ہم گزر جائیں گے جب تیری کمک پہنچے گی
ہم گزر جائیں گے جب سیل زیاں گزرے گا

ہم ہیں خاموش تو خاموش ہی رہنے دیجیے
ہم جو بولے تو سماعت پہ گراں گزرے گا
شبیر نازش

Jab bhi is raah se wo rashk e butan guzre ga
Dil mein thehre ga yaqeen aur guman guzre ga

Haye wo waqt ke jab tum na mayassir ho ge
Haye wo waqt guzare se kahan guzre ga

Is taraf munh nahi karta koi darta lekin
Hum jo guzre to idhar se bhi jahan guzre ga

Bat ye us ke guman mein bhi kahan ho gi bhalaa
Aik sar yan se sar e noak e sinan guzre ga

Aik amboh e taghayyur pas e deevar e anaa
Soorat e haal batati hai miyan guzre ga

Hum guzar jayen ge jab teri kumak pohnche gi
Hum guzar jayen ge jab sail e ziyan guzre ga

Hum hain khamosh to khamosh hi rehne dijiye
Hum jo bole to sama’at pe giran guzre ga

Shabbir Nazish


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo